jab kahā maiñ ne us se ulfat hai
hañs ke kahne lagā agar na huī
bed-e-majnūñ kī ek shāḳh huuī
vo lachaktī huī kamar na huī
vo bhī gūñge bane rahe ham bhī
guftugū qissa-muḳhtasar na huī
is ne bīmār kā galā ghoñTā
jab davā koī kārgar na huī
tā.ir-e-dil kā jo shikār kare
vo to shakra huā nazar na huī
duḳhtar-e-raz ko le ga.e sab riñd
pīr-e-mai-ḳhāna ko ḳhabar na huī
jab kaha main ne us se ulfat hai
hans ke kahne laga agar na hui
bed-e-majnun ki ek shaKH hui
wo lachakti hui kamar na hui
wo bhi gunge bane rahe hum bhi
guftugu qissa-muKHtasar na hui
is ne bimar ka gala ghonTa
jab dawa koi kargar na hui
tair-e-dil ka jo shikar kare
wo to shakra hua nazar na hui
duKHtar-e-raz ko le gae sab rind
pir-e-mai-KHana ko KHabar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.