Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab ki mazi se bahut past bhi haal achchha hai

Machis Lakhnavi

jab ki mazi se bahut past bhi haal achchha hai

Machis Lakhnavi

MORE BYMachis Lakhnavi

    jab ki maazī se bahut past bhī haal achchhā hai

    phir to mustaqbil-e-rañgīñ ḳhayāl achchhā hai

    jis jo zauq ho us ko vahī aatā hai pasand

    maiñ to kahtā huuñ ki donoñ ḳhayāl achchhā hai

    kuchh election meñ to kuchh naam pe 'ġhālib' ke kamāo

    ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

    chāra-gar kahte haiñ bas maut baaqī hai kasar

    aur har tarah se bīmār haal achchhā hai

    nahīñ ma.alūm agar saañp mantar to na phañs

    haath us saañp bāñbī meñ na Daal achchhā hai

    jo bhī hāregā vahī gāliyāñ degā us ko

    jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

    DhūñDiye ḳhair se kar koī moTī sasurāl

    haath jo muft meñ aa.e to vo maal achchhā hai

    bain bain guzarte raho is vaadī se

    na harām achchhā hai bilkul na halāl achchhā hai

    ek ham the jo siyāsat meñ kamā paa.e na kuchh

    varna maazī ke faqīroñ bhī haal achchhā hai

    jitne haiñ dahr meñ hāthoñ safā.ī ke kamāl

    sab se ai dost girah-kaT kamāl achchhā hai

    jis bachpan meñ shādī ho vo kiyā jaane ġharīb

    ishq meñ hijr hai behtar ki visāl achchhā hai

    aur to kuchh bhī nahīñ hazrat-e-'māchis' lekin

    aap meñ aag lagāne kamāl achchhā hai

    jab ki mazi se bahut past bhi haal achchha hai

    phir to mustaqbil-e-rangin ka KHayal achchha hai

    jis ka jo zauq ho us ko wahi aata hai pasand

    main to kahta hun ki donon ka KHayal achchha hai

    kuchh election mein to kuchh nam pe 'ghaalib' ke kamao

    ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

    chaara-gar kahte hain bas maut ki baqi hai kasar

    aur har tarah se bimar ka haal achchha hai

    nahin malum agar sanp ka mantar to na phans

    hath us sanp ki banbi mein na Dal achchha hai

    jo bhi haarega wahi galiyan dega us ko

    jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

    DhunDiye KHair se ja kar koi moTi sasural

    hath jo muft mein aae to wo mal achchha hai

    bain hi bain guzarte raho is wadi se

    na haram achchha hai bilkul na halal achchha hai

    ek hum the jo siyasat mein kama pae na kuchh

    warna mazi ke faqiron ka bhi haal achchha hai

    jitne hain dahr mein hathon ki safai ke kamal

    sab se ai dost girah-kaT ka kamal achchha hai

    jis ki bachpan hi mein shadi ho wo kiya jaane gharib

    ishq mein hijr hai behtar ki visal achchha hai

    aur to kuchh bhi nahin hazrat-e-'machis' lekin

    aap mein aag lagane ka kamal achchha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now