jhuT hai dil na jaan se uThta hai
jhuuT hai dil na jaañ se uThtā hai
ye dhuāñ darmiyāñ se uThtā hai
raat bhar dhoñkne pe mushkil se
''sho.ala ik sub.h yaañ se uThtā hai''
maar laatā hai jūtiyāñ do chaar
''jo tire āstāñ se uThtā hai''
ham dinner khā ke is tarah uTThe
''jaise koī jahāñ se uThtā hai''
jal gayā kaun mere hañsne par
''ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai''
merā mahbūb pāñch man kā hai
''aur mujh nā-tavāñ se uThtā hai''
jhuT hai dil na jaan se uThta hai
ye dhuan darmiyan se uThta hai
raat bhar dhonkne pe mushkil se
shoala ek subh yan se uThta hai
mar lata hai jutiyan do chaar
jo tere aastan se uThta hai
hum dinner kha ke is tarah uTThe
jaise koi jahan se uThta hai
jal gaya kaun mere hansne par
ye dhuan sa kahan se uThta hai
mera mahbub panch man ka hai
aur mujh na-tawan se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.