kahta hun ammi sas ko abba KHusar ko main
kahtā huuñ ammī saas ko abbā ḳhusar ko maiñ
phir kyoñ na jānūñ apnā hī ghar un ke ghar ko maiñ
tanhā hai merā dil to juḌā do kisī kā dil
kah dūñgā dil kī baat kisī doctor ko maiñ
apnī makān vaalī kā apnā vaqār hai
kaise mahal kahūñgā na apne khañDar ko maiñ
mil jaa.e mujh ko chance jo hero kā dosto
pal meñ pachhāḌ Dālūñgā sher-o-babar ko maiñ
uTh jaa.e merī lāTrī qismat se dekhnā
chanda bhī dūñgā ek din allah ke ghar ko maiñ
tū yā koī raqīb kā bachcha dikhā.ī de
taktā huuñ sub.h-o-shām tirī rahguzar ko maiñ
tirpaT hī paale paḌ ga.ī mere zahe nasīb
pahle adā samajhtā thā tirchhī nazar ko maiñ
ūñchī uḌaan itnī girānī kī ho ga.ī
ik din zarūr jā lūñgā shams-o-qamar ko maiñ
fashion se un ke dhokā huā hai mujhe 'rahīm'
maada samajh ke chheḌne vaalā thā nar ko maiñ
kahta hun ammi sas ko abba KHusar ko main
phir kyon na jaanun apna hi ghar un ke ghar ko main
tanha hai mera dil to juDa do kisi ka dil
kah dunga dil ki baat kisi doctor ko main
apni makan wali ka apna waqar hai
kaise mahal kahunga na apne khanDar ko main
mil jae mujh ko chance jo hero ka dosto
pal mein pachhaD Dalunga sher-o-babar ko main
uTh jae meri laTri qismat se dekhna
chanda bhi dunga ek din allah ke ghar ko main
tu ya koi raqib ka bachcha dikhai de
takta hun subh-o-sham teri rahguzar ko main
tirpaT hi pale paD gai mere zahe nasib
pahle ada samajhta tha tirchhi nazar ko main
unchi uDan itni girani ki ho gai
ek din zarur ja lunga shams-o-qamar ko main
fashion se un ke dhoka hua hai mujhe 'rahim'
mada samajh ke chheDne wala tha nar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.