kaise na ho ye dard jo fidwi ke sar mein hai
kaise na ho ye dard jo fidvī ke sar meñ hai
ik zauja-e-alīl jo muddat se ghar meñ hai
hai mubtalā-e-ishq-e-butāñ merā doctor
jo mujh meñ virus hai vahī chāra-gar meñ hai
bheñgī agar dulhan hai zarā sī to kyā huā
lākhoñ kā maal bhī to hamārī nazar meñ hai
hai vāqa.ī kamāl ye contact lens kā
ik bahr-e-nīlgūñ jo tirī chashm-e-tar meñ hai
specialist pain-killer de to kaun saa?
''sāre jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai''
maska lagā ke boss ko apnā banā liyā
'shāhid' ye jāntā hai ki jaadū butter meñ hai
kaise na ho ye dard jo fidwi ke sar mein hai
ek zauja-e-alil jo muddat se ghar mein hai
hai mubtala-e-ishq-e-butan mera doctor
jo mujh mein wirus hai wahi chaara-gar mein hai
bhengi agar dulhan hai zara si to kya hua
lakhon ka mal bhi to hamari nazar mein hai
hai waqai kamal ye contact lens ka
ek bahr-e-nilgun jo teri chashm-e-tar mein hai
specialist pain-killer de to kaun sa?
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
maska laga ke boss ko apna bana liya
'shahid' ye jaanta hai ki jadu butter mein hai
- Book : Dish antenna (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.