kal chaudhwin ki raat thi aabaad tha kamra tera
kal chaudhvīñ kī raat thī ābād thā kamrā tirā
hotī rahī din-tāk-din bajtā rahā tabla tirā
shauhar shanāsā āshnā ham-sāya āshiq nāma-bar
hāzir thā terī bazm meñ har chāhne vaalā tirā
āshiq haiñ jitne dīda-var tū sab kā manzūr-e-nazar
natthā tirā fajjā tirā airā tirā ġhairā tirā
ik shaḳhs aayā bazm meñ jaise sipāhī razm meñ
kuchh ne kahā ye baap hai kuchh ne kahā beTā tirā
maiñ bhī thā hāzir bazm meñ jab tū ne dekhā hī nahīñ
maiñ bhī uThā kar chal diyā bilkul nayā juutā tirā
ye maal ik Daake meñ kal donoñ ne mil kar luuTā hai
insāf ab ye kahtā hai aadhā mirā aadhā tirā
kal chaudhwin ki raat thi aabaad tha kamra tera
hoti rahi din-tak-din bajta raha tabla tera
shauhar shanasa aashna ham-saya aashiq nama-bar
hazir tha teri bazm mein har chahne wala tera
aashiq hain jitne dida-war tu sab ka manzur-e-nazar
nattha tera fajja tera aira tera ghaira tera
ek shaKHs aaya bazm mein jaise sipahi razm mein
kuchh ne kaha ye bap hai kuchh ne kaha beTa tera
main bhi tha hazir bazm mein jab tu ne dekha hi nahin
main bhi uTha kar chal diya bilkul naya juta tera
ye mal ek Dake mein kal donon ne mil kar luTa hai
insaf ab ye kahta hai aadha mera aadha tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.