kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera
kar sakī kuchh na tirī zulf-e-siyāh-fām mirā
kufr ke saaye meñ baḌhtā rahā islām mirā
sāqiyā mez pe rahne de abhī jaam mirā
mast āñkhoñ ne terī kar diyā ulTām mirā
kyā kahā tū ne buḌhāpe meñ na le naam mirā
husn thā ḳhaam tirā ishq nahīñ ḳhaam mirā
laḌte hī pahlī nazar jaan tasadduq kar dī
ho gayā saath hī āġhāz ke anjām mirā
tum agar pyaar se dekho to abhī jī jā.ūñ
nigah-e-nāz meñ hai ziist kā paiġhām mirā
'būm' chupke se vahīñ de diyā bosa us ne
kaan meñ jab ye kahā niiñd kā in.aam mirā
kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera
kufr ke saye mein baDhta raha islam mera
saqiya mez pe rahne de abhi jam mera
mast aankhon ne teri kar diya ulTam mera
kya kaha tu ne buDhape mein na le nam mera
husn tha KHam tera ishq nahin KHam mera
laDte hi pahli nazar jaan tasadduq kar di
ho gaya sath hi aaghaz ke anjam mera
tum agar pyar se dekho to abhi ji jaun
nigah-e-naz mein hai zist ka paigham mera
'bum' chupke se wahin de diya bosa us ne
kan mein jab ye kaha nind ka inam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.