khaya piya kuchh nahin
hotel meñ kal ga.e to ye sochā ki khā.eñ kyā
begam se ham ne pūchhā ki boleñ mañgā.eñ kyā
bolīñ sikhāne ke liye kyā ye kanīz hai
hotel meñ aa ga.e haiñ magar kuchh tamīz hai
hotel kā ehtirām kareñ kuchh adab kareñ
lāzim hai sab se pahle to menu talab kareñ
uñglī ke ik ishāre se waiter bhī aa gayā
menu jo haath meñ thā vo mujh ko thamā gayā
menu ko apne sāmne phir maiñ ne rakh liyā
begam ne itnī der meñ ketchup haḌap kiyā
chashma lagā ke menu ko jab ġhaur se paḌhā
har ek shai kā daam mujhe to lagā chaḌhā
begam ko paḌh ke menu sunānā thā lāzmī
ye silsila chalānā thā aage hañsī-ḳhushī
pūchhā shurūa salād se ham kar leñ bhāgvān
bolīñ kachar-kachar se pakā.eñge mere kaan
maiñ ne kiyā jo dāl-fry kā kuchh bayāñ
bolīñ ki maiñ to aap se ḳhāsī thī ḳhush-gumāñ
thoḌī bahut karele se raġhbat hai aap ko
kahne lagīñ ki sūjhī sharārat hai aap ko
jab ye kahā ki bhinDī yahāñ kī lazīz hai
bolīñ bhalā batāo vo khāne kī chiiz hai
phir maiñ ne zikr chheḌā jo pālak-panīr kā
taḌpīñ vo jaise sher paḌhā maiñ ne 'mīr' kā
bolīñ ki jānte nahīñ tibbī muāmlāt
phathrī kā ḳhauf rahtā hai khāne se saag paat
maiñ ne kahā ki gobhī maTar khā ke dekh leñ
bolīñ ki aisī chīzoñ se parhez hī kareñ
biryānī kā jo zikr kiyā ehtimām se
tan-man meñ un ke aag lagī is kalām se
farmāyā ho chikan kī mutton kī yā beef kī
tārīf mat karo kisī jins-e-latīf kī
maiñ ne kahā yahāñ hai bihārī kabāb bhī
bolīñ ki beef kartā hai me.ada ḳharāb bhī
bolīñ nalī nahārī kā sun kar hai lā-javāb
cholesterol baḌhtā hai lekin mire janāb
maiñ ne kahā kaḌāhī mutton aur chikan kī hai
ḳhurāk āj-kal yahī har mard-o-zan kī hai
bolīñ ki mirch tez na ho to maza nahīñ
aur tez mirch khāne kā ab hausla nahīñ
pūchhā batā.iye to sahī donoñ khā.eñ kyā
menu paḌā hai sāmne boleñ mañgā.eñ kyā
bolīñ uTheñ yahāñ se mirā hai ye mashvara
chalte haiñ chal ke khāte haiñ burger kisī jagah
hotel mein kal gae to ye socha ki khaen kya
begam se hum ne puchha ki bolen mangaen kya
bolin sikhane ke liye kya ye kaniz hai
hotel mein aa gae hain magar kuchh tamiz hai
hotel ka ehtiram karen kuchh adab karen
lazim hai sab se pahle to meinu talab karen
ungli ke ek ishaare se waiter bhi aa gaya
meinu jo hath mein tha wo mujh ko thama gaya
meinu ko apne samne phir main ne rakh liya
begam ne itni der mein ketchup haDap kiya
chashma laga ke meinu ko jab ghaur se paDha
har ek shai ka dam mujhe to laga chaDha
begam ko paDh ke meinu sunana tha lazmi
ye silsila chalana tha aage hansi-KHushi
puchha shurua salad se hum kar len bhagwan
bolin kachar-kachar se pakaenge mere kan
main ne kiya jo dal-fry ka kuchh bayan
bolin ki main to aap se KHasi thi KHush-guman
thoDi bahut karele se raghbat hai aap ko
kahne lagin ki sujhi shararat hai aap ko
jab ye kaha ki bhinDi yahan ki laziz hai
bolin bhala batao wo khane ki chiz hai
phir main ne zikr chheDa jo palak-panir ka
taDpin wo jaise sher paDha main ne 'mir' ka
bolin ki jaante nahin tibbi muamlat
phathri ka KHauf rahta hai khane se sag pat
main ne kaha ki gobhi maTar kha ke dekh len
bolin ki aisi chizon se parhez hi karen
biryani ka jo zikr kiya ehtimam se
tan-man mein un ke aag lagi is kalam se
farmaya ho chikan ki mutton ki ya beef ki
tarif mat karo kisi jins-e-latif ki
main ne kaha yahan hai bihaari kabab bhi
bolin ki beef karta hai meada KHarab bhi
bolin nali nahaari ka sun kar hai la-jawab
cholesterol baDhta hai lekin mere janab
main ne kaha kaDahi mutton aur chikan ki hai
KHurak aaj-kal yahi har mard-o-zan ki hai
bolin ki mirch tez na ho to maza nahin
aur tez mirch khane ka ab hausla nahin
puchha bataiye to sahi donon khaen kya
meinu paDa hai samne bolen mangaen kya
bolin uThen yahan se mera hai ye mashwara
chalte hain chal ke khate hain burger kisi jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.