KHargoshon ki ghazal
koī shikārī baar baar ban meñ hamāre aa.e kyūñ?
chaukeñge ham hazār baar koī hameñ Darā.e kyūñ?
ghar nahīñ, jhoñpaḌī nahīñ kuTiyā nahīñ makāñ nahīñ?
baiThe haiñ jañgaloñ meñ ham koī hameñ bhagā.e kyūñ?
kaan khaḌe na kyuuñ kareñ ghaas meñ kyuuñ na ham chhupeñ
khaTkā zarā bhī ho agar koī ThiThak na jaa.e kyūñ?
ban meñ hamāre jo bhī aa.e sair maze se vo kare
aa.e hazār baar ḳhud kuttoñ ko saath laa.e kyūñ?
ammī se maar khā ke bhī ḳhush koī kis tarah rahe
paanī maze se kyuuñ piye ghaas maze se khaa.e kyūñ?
kahtā thā ik shikārī ye ''ā.eñge ham zarūr yaañ
jis ko hai apnī jaañ aziiz ban meñ vo ghar banā.e kyūñ?
chiḌiyāñ na chahchahā.eñ kal so.eñge ham dopahr tak
band hai ban kā madrasa koī hameñ jagā.e kyūñ?
koi shikari bar bar ban mein hamare aae kyun?
chaukenge hum hazar bar koi hamein Darae kyun?
ghar nahin, jhonpaDi nahin kuTiya nahin makan nahin?
baiThe hain jangalon mein hum koi hamein bhagae kyun?
kan khaDe na kyun karen ghas mein kyun na hum chhupen
khaTka zara bhi ho agar koi ThiThak na jae kyun?
ban mein hamare jo bhi aae sair maze se wo kare
aae hazar bar KHud kutton ko sath lae kyun?
ammi se mar kha ke bhi KHush koi kis tarah rahe
pani maze se kyun piye ghas maze se khae kyun?
kahta tha ek shikari ye aaenge hum zarur yan
jis ko hai apni jaan aziz ban mein wo ghar banae kyun?
chiDiyan na chahchahaen kal soenge hum dopahr tak
band hai ban ka madrasa koi hamein jagae kyun?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.