kisi ka ho nahin sakta hai koi kaam roze mein
kisī kā ho nahīñ saktā hai koī kaam roze meñ
jo roze-dār haiñ karte haiñ vo ārām roze meñ
ise DapTā use ghuḌkā ise piiTā use kuuTā
machā rahtā hai ghar meñ sub.h se kohrām roze meñ
ḳhabar kar do mohalle meñ agar chheḌā kisī ne bhī
usī dam maiñ machā saktā huuñ qatl-e-ām roze meñ
mujhe achchhī nahīñ lagtī hai terī dil-lagī begam
tire āġhāz kā hogā burā anjām roze meñ
koī bahr-e-salāmī dopahar ke ba.ad kyuuñ aa.e
tumhīñ kah do maiñ us ko kyuuñ na duuñ dushnām roze meñ
añdherā chhā gayā āñkhoñ-tale daftar na jā.ūñgā
mire sar meñ lagāo roġhan-e-bādām roze meñ
agar dekhoge ibrat kī nazar se mere chehre ko
nazar aa.egī is meñ gardish-e-ayyām roze meñ
paḌe the halq meñ kāñTe to din meñ pī liyā sharbat
are zālim mujhe kartā hai kyuuñ badnām roze meñ
namāzoñ kī kahāñ tāqat tilāvat kā kahāñ yaarā
mujhe dete ho kyuuñ tum maut kā paiġhām roze meñ
dikhāyā doctor ko jab to us ne mujh se ye pūchhā
tujhe har saal ho jaatā hai kyuuñ sarsām roze meñ
parāThe chaar do murġh-e-musallam khaa.e sahrī meñ
shikam meñ hai ye kaisā shor-e-be-hañgām roze meñ
ye rishvat ke haiñ paise din meñ kaise luuñ musalmāñ huuñ
maiñ le saktā nahīñ sar apne ye ilzām roze meñ
tire darbār meñ terā ye banda arz kartā hai
ilāhī das baje din meñ hī kar de shaam roze meñ
karūñgā kaam roze meñ 'zafar' maiñ us muakkil kā
jo bhejegā bilā-nāġha mire ghar aam roze meñ
kisi ka ho nahin sakta hai koi kaam roze mein
jo roze-dar hain karte hain wo aaram roze mein
ise DapTa use ghuDka ise piTa use kuTa
macha rahta hai ghar mein subh se kohram roze mein
KHabar kar do mohalle mein agar chheDa kisi ne bhi
usi dam main macha sakta hun qatl-e-am roze mein
mujhe achchhi nahin lagti hai teri dil-lagi begam
tere aaghaz ka hoga bura anjam roze mein
koi bahr-e-salami dopahar ke baad kyun aae
tumhin kah do main us ko kyun na dun dushnam roze mein
andhera chha gaya aankhon-tale daftar na jaunga
mere sar mein lagao roghan-e-baadam roze mein
agar dekhoge ibrat ki nazar se mere chehre ko
nazar aaegi is mein gardish-e-ayyam roze mein
paDe the halq mein kanTe to din mein pi liya sharbat
are zalim mujhe karta hai kyun badnam roze mein
namazon ki kahan taqat tilawat ka kahan yara
mujhe dete ho kyun tum maut ka paigham roze mein
dikhaya doctor ko jab to us ne mujh se ye puchha
tujhe har sal ho jata hai kyun sarsam roze mein
paraThe chaar do murgh-e-musallam khae sahri mein
shikam mein hai ye kaisa shor-e-be-hangam roze mein
ye rishwat ke hain paise din mein kaise lun musalman hun
main le sakta nahin sar apne ye ilzam roze mein
tere darbar mein tera ye banda arz karta hai
ilahi das baje din mein hi kar de sham roze mein
karunga kaam roze mein 'zafar' main us muakkil ka
jo bhejega bila-nagha mere ghar aam roze mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.