koi le zor ki chuTki to hai inkar poshida
koī le zor kī chuTkī to hai inkār poshīda
koī chupke se chuTkī le to hai iqrār chuTkī meñ
ik apne vāste hai dūsrā jis se vo hāreñge
vo le kar ghūmte haiñ aaj kal do haar chuTkī meñ
hinā-ālūd chuTkī dekh kar mahsūs hotā hai
kisī ne jaise bhar dī ho koī gulnār chuTkī meñ
vo chuTkī le ke detā hai mohabbat sirf chuTkī bhar
mazā jab thā ki muTThī bhar ke detā pyaar chuTkī meñ
vo chuTkī bhar ke kahte haiñ sunāo chuTkulā koī
maiñ chuTkī le ke kahtā huuñ suno ash.ār chuTkī meñ
ye chuTkī kī karāmat hai ki bas chuTkī bajāte haiñ
humak kar aane lagtā hai ḳhayāl-e-yār chuTkī meñ
koi le zor ki chuTki to hai inkar poshida
koi chupke se chuTki le to hai iqrar chuTki mein
ek apne waste hai dusra jis se wo haarenge
wo le kar ghumte hain aaj kal do haar chuTki mein
hina-alud chuTki dekh kar mahsus hota hai
kisi ne jaise bhar di ho koi gulnar chuTki mein
wo chuTki le ke deta hai mohabbat sirf chuTki bhar
maza jab tha ki muTThi bhar ke deta pyar chuTki mein
wo chuTki bhar ke kahte hain sunao chuTkula koi
main chuTki le ke kahta hun suno ashaar chuTki mein
ye chuTki ki karamat hai ki bas chuTki bajate hain
humak kar aane lagta hai KHayal-e-yar chuTki mein
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 119)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.