kya hai
gayā ho jail na jab tak vo kyā jaane sazā kyā hai
rihā.ī meñ hai kyā diqqat asīrī meñ mazā kyā hai
hamārī shādī ḳhāna-ābādī mohabbat bā-mashaqqat hai
jahāñ biivī mirī jaj ho vahāñ merī razā kyā hai
ye mujh se pūchh baiThī ek din laḌkā numā laḌkī
vafā hai naam kis chiḌiyā kā aur sharm-o-hayā kyā hai
kahā maiñ ne ye us ki ye us aurat ke zevar the
jise mālūm tak na thā ki bāhar keī havā kyā hai
kahā havvā kī beTī ne ki ham āzād panchhī haiñ
ye zevar bojh hote haiñ na pahneñ to burā kyā hai
javāban ye kahā zevar to kyā kapḌe bhī mat pahno
utāro pheñk do ye bojh bhī in meñ rahā kyā hai
milā hai ilm to is se karo kuchh istifāda bhī
kam-az-kam itnā pahchāno ki achchhā kyā burā kyā hai
kabhī jis ne sunī na ho kisī schōl kī ghanTī
use mālūm kyā tārīḳh hai juġhrāfiya kyā hai
koī jānegā kaise 'ḳhvāh-maḳhvāh' ye rāz-e-qudrat hai
azal kī ibtidā kyā thī abad kī intihā kyā hai
gaya ho jail na jab tak wo kya jaane saza kya hai
rihai mein hai kya diqqat asiri mein maza kya hai
hamari shadi KHana-abaadi mohabbat ba-mashaqqat hai
jahan biwi meri jaj ho wahan meri raza kya hai
ye mujh se puchh baiThi ek din laDka numa laDki
wafa hai nam kis chiDiya ka aur sharm-o-haya kya hai
kaha main ne ye us ki ye us aurat ke zewar the
jise malum tak na tha ki bahar kei hawa kya hai
kaha hawwa ki beTi ne ki hum aazad panchhi hain
ye zewar bojh hote hain na pahnen to bura kya hai
jawaban ye kaha zewar to kya kapDe bhi mat pahno
utaro phenk do ye bojh bhi in mein raha kya hai
mila hai ilm to is se karo kuchh istifada bhi
kam-az-kam itna pahchano ki achchha kya bura kya hai
kabhi jis ne suni na ho kisi school ki ghanTi
use malum kya tariKH hai jughrafiya kya hai
koi jaanega kaise 'KHwah-maKHwah' ye raaz-e-qudrat hai
azal ki ibtida kya thi abad ki intiha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.