layal-pur ke machchhar
ye lāyal-pūr ke machchhar jo mil vāloñ ne paale haiñ
bahādur sūrmā sāvañt tagḌe aur jiyāle haiñ
munazzam taur se mehmāñ pe shab-ḳhūñ mārne vaale
ye vo haiñ jo nahīñ kaunain se bhī hārne vaale
filaT chhiḌke hue kamroñ meñ bhī tan-tan ke aate haiñ
vo sab mil kar ḳhushī meñ fat.h ke baaje bajāte the
kabhī vo chārpā.ī par kabhī vo farsh par baiThe
dimāġh ūñchā havā itnā ki uḌ kar 'arsh' par baiThe
kisī machchhar ne baḌh kar hazrat-e-'maḳhmūr' ko kaaTā
ḳhumār utrā to chhāyā ālam-e-hastī meñ sannāTā
kabhī rāġhib se raġhbat kī kabhī sāhil pe aa baiThe
savāb-e-haj kī ḳhātir maulvī 'māhir' pe jā baiThe
kabhī 'āzād' ko chakkhā kabhī 'ehsān' ko chāTā
sitam ye hai ki mujh se sāhib-e-īmān ko kaaTā
miyāñ-sayyad-mohamād-jāfarī kī ġhair hālat thī
jo muñh kholā ghuse muñh meñ lihāf oḌhā to shāmat thī
kahā 'aḳhtar' se panDit-jī hamārā bhī bhajan sun lo
bahut hī muḳhtasar hai qissa-e-dār-o-rasan sun lo
bahut tañg aa ga.e jab machchharoñ kī Dañk-mārī se
to sab shā.er taḌap uTThe nihāyat be-qarārī se
kametī kar ke aapas meñ yahī ik baat tai paa.ī
javābī hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebā.ī
bahut hushyār hokar an se laḌne kī jo baaī hai
kahīñ sab shā.iroñ aur machchharoñ kī jañg jaarī hai
kabhī taalī bajāte the kabhī vo sar khujāte the
vo ghabrāhaT meñ mil kar ek hī misra ye gaate the
zarā sī jaan kī chañgez-ḳhānī dekhte jaao
ab uTThā chāhtī hai lāsh-e-'fānī' dekhte jaao
ye layal-pur ke machchhar jo mil walon ne pale hain
bahadur surma sawant tagDe aur jiyale hain
munazzam taur se mehman pe shab-KHun marne wale
ye wo hain jo nahin kaunain se bhi haarne wale
filaT chhiDke hue kamron mein bhi tan-tan ke aate hain
wo sab mil kar KHushi mein fath ke baje bajate the
kabhi wo chaarpai par kabhi wo farsh par baiThe
dimagh uncha hawa itna ki uD kar 'arsh' par baiThe
kisi machchhar ne baDh kar hazrat-e-'maKHmur' ko kaTa
KHumar utra to chhaya aalam-e-hasti mein sannaTa
kabhi raghib se raghbat ki kabhi sahil pe aa baiThe
sawab-e-haj ki KHatir maulwi 'mahir' pe ja baiThe
kabhi 'azad' ko chakkha kabhi 'ehsan' ko chaTa
sitam ye hai ki mujh se sahib-e-iman ko kaTa
miyan-sayyad-mohamad-jafari ki ghair haalat thi
jo munh khola ghuse munh mein lihaf oDha to shamat thi
kaha 'aKHtar' se panDit-ji hamara bhi bhajan sun lo
bahut hi muKHtasar hai qissa-e-dar-o-rasan sun lo
bahut tang aa gae jab machchharon ki Dank-mari se
to sab shaer taDap uTThe nihayat be-qarari se
kameti kar ke aapas mein yahi ek baat tai pai
jawabi hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebai
bahut hushyar hokar an se laDne ki jo bai hai
kahin sab shairon aur machchharon ki jang jari hai
kabhi tali bajate the kabhi wo sar khujate the
wo ghabrahaT mein mil kar ek hi misra ye gate the
zara si jaan ki changez-KHani dekhte jao
ab uTTha chahti hai lash-e-'fani' dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.