Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine kaha ki shahr ke haq mein dua karo

Dilawar Figar

maine kaha ki shahr ke haq mein dua karo

Dilawar Figar

MORE BYDilawar Figar

    maiñ ne kahā ki shahr ke haq meñ duā karo

    us ne kahā ki baat ġhalat mat kahā karo

    maiñ ne kahā ki raat se bijlī bhī band hai

    us ne kahā ki haath se pañkhā jhalā karo

    maiñ ne kahā ki shahr meñ paanī qaht hai

    us ne kahā ki pepsi cola piyā karo

    maiñ ne kahā ki car Dakaitoñ ne chhīn

    us ne kahā ki achchhā hai paidal chalā karo

    maiñ ne kahā ki kaam hai na koī kārobār

    us ne kahā ki shā.irī par iktifā karo

    maiñ ne kahā ki sau bhī gintī nahīñ hai yaad

    us ne kahā ki raat ko taare ginā karo

    maiñ ne kahā ki hai mujhe kursī aarzū

    us ne kahā ki āyat-e-kursī paḌhā karo

    maiñ ne kahā ġhazal paḌhī jaatī nahīñ sahīh

    us ne kahā ki pahle rehearsal kiyā karo

    maiñ ne kahā ki kaise kahī jaatī hai ġhazal

    us ne kahā ki merī ġhazal diyā karo

    har baat par jo kahtā rahā maiñ bajā bajā

    us ne kahā ki yuuñ musalsal bajā karo

    main ne kaha ki shahr ke haq mein dua karo

    us ne kaha ki baat ghalat mat kaha karo

    main ne kaha ki raat se bijli bhi band hai

    us ne kaha ki hath se pankha jhala karo

    main ne kaha ki shahr mein pani ka qaht hai

    us ne kaha ki pepsi cola piya karo

    main ne kaha ki car Dakaiton ne chhin li

    us ne kaha ki achchha hai paidal chala karo

    main ne kaha ki kaam hai na koi karobar

    us ne kaha ki shairi par iktifa karo

    main ne kaha ki sau ki bhi ginti nahin hai yaad

    us ne kaha ki raat ko tare gina karo

    main ne kaha ki hai mujhe kursi ki aarzu

    us ne kaha ki aayat-e-kursi paDha karo

    main ne kaha ghazal paDhi jati nahin sahih

    us ne kaha ki pahle rehearsal kiya karo

    main ne kaha ki kaise kahi jati hai ghazal

    us ne kaha ki meri ghazal ga diya karo

    har baat par jo kahta raha main baja baja

    us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo

    Source :
    • Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 139)
    • Author : Hassan Abbasi
    • Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
    • Edition : 2004

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now