main to ahl hun kisi aur ka meri ahliya koi aur hai
maiñ to ahl huuñ kisī aur kā mirī ahliya koī aur hai
maiñ radīf-e-misra-e-ishq huuñ mirā qāfiya koī aur hai
jo luġhat ko toḌ-maroḌ de jo ġhazal ko nasr se joḌ de
maiñ vo bad-mazāq-e-suḳhan nahīñ vo jadīdiyā koī aur hai
mujhe apne sher ke sāriqoñ se koī gila to nahīñ magar
jo kitāb chhāp ke khā gayā vo farāḌiyā koī aur hai
maiñ tirā Cousin tū mirī Cousin kareñ raqs phir sar-e-anjuman
na tirā chachā koī aur hai na mirā chachā koī aur hai
vo suhāg-rāt jahez meñ sag-e-pāltū bhī le aa.ī thī
jo sahar huī to pata chalā yahāñ tīsrā koī aur hai
hai mirī ġhazal kā bharam abhī mire narḳhare meñ hai dam abhī
maiñ javāb-e-shā.er-e-asr huuñ mirā TeTuā koī aur hai
kisī tajrabe kī talāsh meñ mirā aqd-e-sānavī ho gayā
mirī ahliya ko ḳhabar nahīñ mirī ahliya koī aur hai
main to ahl hun kisi aur ka meri ahliya koi aur hai
main radif-e-misra-e-ishq hun mera qafiya koi aur hai
jo lughat ko toD-maroD de jo ghazal ko nasr se joD de
main wo bad-mazaq-e-suKHan nahin wo jadidiya koi aur hai
mujhe apne sher ke sariqon se koi gila to nahin magar
jo kitab chhap ke kha gaya wo faraDiya koi aur hai
main tera Cousin tu meri Cousin karen raqs phir sar-e-anjuman
na tera chacha koi aur hai na mera chacha koi aur hai
wo suhag-raat jahez mein sag-e-paltu bhi le aai thi
jo sahar hui to pata chala yahan tisra koi aur hai
hai meri ghazal ka bharam abhi mere narKHare mein hai dam abhi
main jawab-e-shaer-e-asr hun mera TeTua koi aur hai
kisi tajrabe ki talash mein mera aqd-e-sanawi ho gaya
meri ahliya ko KHabar nahin meri ahliya koi aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.