maqsad-e-hayat
zindagī apnī numā.ish-gāh-e-masnūāt hai
chaar din bijlī ke lamp aur phir añdherī raat hai
aa.e haiñ duniyā meñ koī kaam karne ke liye
kuchh ḳhudā se aur kuchh biivī se Darne ke liye
hai javānoñ ke liye cinema meñ jaanā zindagī
jeb meñ paa.ī na ho tie lagānā zindagī
mah-vashoñ se baaġh meñ āñkheñ laḌānā zindagī
ġhusl-ḳhāne meñ akele gungunānā zindagī
ishq-bāzī aur mausīqī nahīñ to kuchh nahīñ
aur kuchh kuchh mai se dilchaspī nahīñ to kuchh nahīñ
sher kahnā bhī banā jaatā hai juzv-e-zindagī
naam chhap jaanā risāle meñ hai hadd-e-shā.irī
nasr meñ ash.ār kah lenā hai ik san.at na.ī
aur agar ye bhī nahīñ ḳhālī taḳhallus hī sahī
naam ke saath ek do alfāz kī dum chāhiye
sher phīkā hī sahī lekin tarannum chāhiye
zindagī kā ek maqsad leaderī karnā bhī hai
chanda khā kar qaum kī ulfat kā dam bharnā bhī hai
mulk par jaañ denā lafzī taur par marnā bhī hai
is pe murda-bād ke nāroñ se kuchh Darnā bhī hai
ban ke leader so rahe to zindagī kis kaam kī
amn qaa.em ho gayā to leaderī kis kaam kī
maqsad-e-hajjām hai aurat banānā mard se
maqsad apnā hai Darānā but ko āh-e-sard se
zindagī ke aur maqsad bhī haiñ insāñ ke liye
koī aivāñ ke liye hai koī zindāñ ke liye
koī gulshan ke liye koī bayābāñ ke liye
aur ye 'laqlaq' hai to afkār-e-pareshāñ ke liye
raat din is kā qalam masrūf-e-laqlaqyāt hai
chaar din kī chāñdnī hai phir añdherī raat hai
zindagi apni numaish-gah-e-masnuat hai
chaar din bijli ke lamp aur phir andheri raat hai
aae hain duniya mein koi kaam karne ke liye
kuchh KHuda se aur kuchh biwi se Darne ke liye
hai jawanon ke liye cinema mein jaana zindagi
jeb mein pai na ho tie lagana zindagi
mah-washon se bagh mein aankhen laDana zindagi
ghusl-KHane mein akele gungunana zindagi
ishq-bazi aur mausiqi nahin to kuchh nahin
aur kuchh kuchh mai se dilchaspi nahin to kuchh nahin
sher kahna bhi bana jata hai juzw-e-zindagi
nam chhap jaana risale mein hai hadd-e-shairi
nasr mein ashaar kah lena hai ek sanat nai
aur agar ye bhi nahin KHali taKHallus hi sahi
nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye
sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye
zindagi ka ek maqsad leaderi karna bhi hai
chanda kha kar qaum ki ulfat ka dam bharna bhi hai
mulk par jaan dena lafzi taur par marna bhi hai
is pe murda-baad ke naron se kuchh Darna bhi hai
ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki
amn qaem ho gaya to leaderi kis kaam ki
maqsad-e-hajjam hai aurat banana mard se
maqsad apna hai Darana but ko aah-e-sard se
zindagi ke aur maqsad bhi hain insan ke liye
koi aiwan ke liye hai koi zindan ke liye
koi gulshan ke liye koi bayaban ke liye
aur ye 'laqlaq' hai to afkar-e-pareshan ke liye
raat din is ka qalam masruf-e-laqlaqyat hai
chaar din ki chandni hai phir andheri raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.