maraz ghazal ka hai mujhko zukaam thoDi hai
maraz ghazal ka hai mujhko zukaam thoDi hai
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
maraz ġhazal kā hai mujh ko zukām thoḌī hai
ki merī jaan mujhe koī kaam thoḌī hai
na dekho itnī hiqārat se mā-badaulat ko
hai sar kā taaj tumhārā ġhulām thoḌī hai
maiñ kaise kar luuñ yaqīñ is meñ hai nasha saaqī
ye aañkh aañkh hai dārū-gudām thoḌī hai
yatīm-ḳhāne kā kar jaa.eñ saarā maal haḌap
harām-ḳhoroñ ke muñh meñ lagām thoḌī hai
ġhazal churānā bhī aur paḌhnā bhī dhaḌalle se
kaleja chāhiye āsān kaam thoḌī hai
tire vajūd ko kāñTā banā ke rakh degā
ye ġham kī golī hai beTā badām thoḌī hai
sunā sunā ke pakā dūñgā kaan mahfil ke
mirā kalām ye 'vāhid' kalām thoḌī hai
maraz ghazal ka hai mujh ko zukaam thoDi hai
ki meri jaan mujhe koi kaam thoDi hai
na dekho itni hiqarat se ma-badaulat ko
hai sar ka taj tumhaara ghulam thoDi hai
main kaise kar lun yaqin is mein hai nasha saqi
ye aankh aankh hai daru-gudam thoDi hai
yatim-KHane ka kar jaen sara mal haDap
haram-KHoron ke munh mein lagam thoDi hai
ghazal churana bhi aur paDhna bhi dhaDalle se
kaleja chahiye aasan kaam thoDi hai
tere wajud ko kanTa bana ke rakh dega
ye gham ki goli hai beTa badam thoDi hai
suna suna ke paka dunga kan mahfil ke
mera kalam ye 'wahid' kalam thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.