mardum-gazida insan ka ilaj
Interesting Fact
According to a newspaper report, an injured man was brought to the emergency ward of Mayo Hospital who was bitten on the left arm by another man. When the doctor examined the wound, he found deadly poison in it. Therefore, it was decided that the injured should be vaccinated in the same way as the dog is bitten by a human. So after two vaccinations, the man was allowed to go home.
bahut dinoñ meñ koī kaam kī ḳhabar aa.ī
kahīñ to shahr meñ insāniyat nazar aa.ī
baḌā vasī.a ḳhalā is ḳhabar ne paaTā hai
ki aadmī ne kisī aadmī ko kaaTā hai
ga.e vo din ki jab insān sag-gazīda thā
lahū lahū thā badan pairahan darīda thā
hamāre daur meñ zālim sitam-rasīda hai
ki aadmī hī yahāñ ādmī-gazīda hai
ajiib daur hai kuttā to rahm khātā hai
aur aadmī se jo bolo to kaaTe khātā hai
gazīdgī jo ab insān kī sifāt meñ hai
ye kāT-kūT har ik shobā-e-hayāt meñ hai
na koī dost na hamdam na āshnā na habīb
usī se ḳhauf ziyāda jo hai ziyāda qarīb
safar meñ log chaleñge jo saath kāTeñge
musāfaha ho to hāthoñ ko haath kāTeñge
safar meñ jeb-e-musāfir ko kaaTā jā.egā
mushā.ere ho to shā.er ko kaaTā jā.egā
na khul ke haath chaleñge na fighting hogā
mileñge log jahāñ back-biting hogā
na actor na musavvir na writer niklā
jise bhī dost kahā back-biter niklā
chalī hai rasm ki ik dūsre kī kaaT karo
badī ke naam diloñ ke makāñ allot karo
jalegā aisī hī ḳhabroñ se ab nazar kā diyā
ki aadmī ne kisī aadmī ko kaaT liyā
purāne Tīkoñ kā ab kyā asar ho āñtoñ meñ
khulā ki zahr hai ab aadmī ke dāñtoñ meñ
jo zaḳhm sag se milā thā vo surgery se silā
vo zaḳhm kaise bharegā jo aadmī se milā?
abhī to kuchh bhī nahīñ apnī had meñ hai har baat
abhī ḳharāb nahīñ haiñ samāj ke hālāt
abhī to aadmī bhoñkā hai ibn-e-ādam par
abhī azaab koī aur aa.egā ham par
junūñ ye aur baḌhegā to rañg lā.egā
ye aadmī kabhī kutte ko kaaT khā.egā
bahut dinon mein koi kaam ki KHabar aai
kahin to shahr mein insaniyat nazar aai
baDa wasia KHala is KHabar ne paTa hai
ki aadmi ne kisi aadmi ko kaTa hai
gae wo din ki jab insan sag-gazida tha
lahu lahu tha badan pairahan darida tha
hamare daur mein zalim sitam-rasida hai
ki aadmi hi yahan aadmi-gazida hai
ajib daur hai kutta to rahm khata hai
aur aadmi se jo bolo to kaTe khata hai
gazidgi jo ab insan ki sifat mein hai
ye kaT-kuT har ek shoba-e-hayat mein hai
na koi dost na hamdam na aashna na habib
usi se KHauf ziyaada jo hai ziyaada qarib
safar mein log chalenge jo sath kaTenge
musafaha ho to hathon ko hath kaTenge
safar mein jeb-e-musafir ko kaTa jaega
mushaere ho to shaer ko kaTa jaega
na khul ke hath chalenge na fighting hoga
milenge log jahan back-biting hoga
na actor na musawwir na writer nikla
jise bhi dost kaha back-biter nikla
chali hai rasm ki ek dusre ki kaT karo
badi ke nam dilon ke makan allot karo
jalega aisi hi KHabron se ab nazar ka diya
ki aadmi ne kisi aadmi ko kaT liya
purane Tikon ka ab kya asar ho aanton mein
khula ki zahr hai ab aadmi ke danton mein
jo zaKHm sag se mila tha wo surgery se sila
wo zaKHm kaise bharega jo aadmi se mila?
abhi to kuchh bhi nahin apni had mein hai har baat
abhi KHarab nahin hain samaj ke haalat
abhi to aadmi bhonka hai ibn-e-adam par
abhi azab koi aur aaega hum par
junun ye aur baDhega to rang laega
ye aadmi kabhi kutte ko kaT khaega
- Book : Feesabilillah (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.