medical test
do mulāzim ek kaalā aur gorā dūsrā
dūsrā paidal magar pahlā savār-e-rāh-vār
the civil-surgeon kī koThī kī taraf donoñ ravāñ
kyūñki bīmārī kī ruḳhsat ke the donoñ ḳhvāst-gār
raah meñ donoñ ke bāham ho ga.ī kuchh hasht-masht
kokh meñ kaale kī ik mukkā diyā gore ne maar
sadma pahuñchā jis se tillī ko bahut miskīn kī
aa ke ghoḌe se liyā sā.īs ne us ko utaar
Thok kar kaale ko gore ne to apnī raah lī
choT ke sadme se ġhash kaale ko aayā chand-bār
āḳhirash koThī pe pahuñche jā ke donoñ pesh-o-pas
zārib apne paañv aur mazrūb Dolī meñ savār
doctor ne aa ke donoñ kī sunī jab sarguzisht
tah ko jā pahuñchā suḳhan kī sun ke qissa ek-bār
dī sanad gore ko likh kar jis meñ thī tasdīq-e-marz
aur ye likkhā thā masā.il haiñ bahut zār-o-nizār
yaanī ik kaalā na jis gore ke mukke se mare
kar nahīñ saktā hukūmat hind par vo zīnhār
aur kahā kaale se tum ko mil nahīñ saktī sanad
kyūñki tum mālūm hote ho ba-zāhir jān-dār
ek kaalā piT ke jo gore se fauran mar na jaa.e
aa.e baabā us kī bīmārī kā kyūñkar e'tibār
do mulazim ek kala aur gora dusra
dusra paidal magar pahla sawar-e-rah-war
the ciwil-surgeon ki koThi ki taraf donon rawan
kyunki bimari ki ruKHsat ke the donon KHwast-gar
rah mein donon ke baham ho gai kuchh hasht-masht
kokh mein kale ki ek mukka diya gore ne mar
sadma pahuncha jis se tilli ko bahut miskin ki
aa ke ghoDe se liya sais ne us ko utar
Thok kar kale ko gore ne to apni rah li
choT ke sadme se ghash kale ko aaya chand-bar
aaKHirash koThi pe pahunche ja ke donon pesh-o-pas
zarib apne panw aur mazrub Doli mein sawar
doctor ne aa ke donon ki suni jab sarguzisht
tah ko ja pahuncha suKHan ki sun ke qissa ek-bar
di sanad gore ko likh kar jis mein thi tasdiq-e-marz
aur ye likkha tha masail hain bahut zar-o-nizar
yani ek kala na jis gore ke mukke se mare
kar nahin sakta hukumat hind par wo zinhaar
aur kaha kale se tum ko mil nahin sakti sanad
kyunki tum malum hote ho ba-zahir jaan-dar
ek kala piT ke jo gore se fauran mar na jae
aae baba us ki bimari ka kyunkar e'tibar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.