Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri biwi qabr mein leTi hai jis hangam se

Syed Zameer Jafri

meri biwi qabr mein leTi hai jis hangam se

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    merī biivī qabr meñ leTī hai jis hañgām se

    vo bhī hai ārām se aur maiñ bhī huuñ ārām se

    kis tarah guzrān hogī ab super aqvām se

    māñgtī haiñ daam bhī vo banda-e-be-dām se

    ghoḌe nikle uuñT nikle motareñ niklīñ magar

    ek bhī aalim na niklā ālam-e-islām se

    phir vo jeneral election meñ bhī hogā kāmyāb

    vo jo hai mārūf gul-ghoTū ke urf-e-ām se

    jaise sach kuchh bhī nahīñ jaise ḳhudā koī nahīñ

    kis qadar ummīdeñ vābasta haiñ uncle-sām se

    jaane kyā paivand-e-ādam se ye ab paidā kareñ

    aam aur amrūd paidā kar liyā bādām se

    diin to bachtā nazar aatā nahīñ newyork meñ

    zulf apnī bachā le jā.iye hajjām se

    sher hissa agar alfāz par rakkhā gayā

    khelnā hai jaam se aur vo bhī ḳhālī jaam se

    ek paiġhām hai merā javānān-e-azīz

    naam paao ilm se ārām paao kaam se

    husn nature atā azmat samar tahzīb

    munfarid hai misr apne niil aur ahrām se

    gar siyāsat meñ rahīñ aisī ḳhar-bāzāriyāñ

    parliamenteñ ḳharīdī jā.eñgī nīlām se

    meri biwi qabr mein leTi hai jis hangam se

    wo bhi hai aaram se aur main bhi hun aaram se

    kis tarah guzran hogi ab super aqwam se

    mangti hain dam bhi wo banda-e-be-dam se

    ghoDe nikle unT nikle motaren niklin magar

    ek bhi aalim na nikla aalam-e-islam se

    phir wo jeneral election mein bhi hoga kaamyab

    wo jo hai maruf gul-ghoTu ke urf-e-am se

    jaise sach kuchh bhi nahin jaise KHuda koi nahin

    kis qadar ummiden wabasta hain uncle-sam se

    jaane kya paiwand-e-adam se ye ab paida karen

    aam aur amrud paida kar liya baadam se

    din to bachta nazar aata nahin newyork mein

    zulf hi apni bacha le jaiye hajjam se

    sher ka hissa agar alfaz par rakkha gaya

    khelna hai jam se aur wo bhi KHali jam se

    ek hi paigham hai mera jawanan-e-aziz

    nam pao ilm se aaram pao kaam se

    husn nature ki ata azmat samar tahzib ka

    munfarid hai misr apne nil aur ahram se

    gar siyasat mein rahin aisi hi KHar-bazariyan

    parliamenten KHaridi jaengi nilam se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now