meri mahbub
merī mahbūb tujhe merī mohabbat kī qasam
apnī halkī sī sharāfat kā ishāra de de
jeb se maarā huā note karārā de de
ai mirī jaañ mire uljhe hue maqte kī ġhazal
jise dekhā nahīñ us ḳhvāb kī ulTī ta.abīr
tū mehrbāñ ho to khil jaa.e mire dil kā kañval
apnī be-laus mohabbat kī dikhā de tāsīr
aa ke dhobī hai khaḌā us kā udhārā de de
jeb se maarā huā note karārā de de
kyā bhulā saktī hai tū pahlī mulāqāt apnī
merī cycle se jo tū jaan ke Takrā.ī thī
ek din aaḌ the kuchh baal tire sar pe magar
terī choTī mirī muTThī meñ simaT aa.ī thī
baal naqlī hī sahī un kā utārā de de
jeb se maarā huā note karārā de de
yaad hai tujh ko mire haath kī sone kī ghaḌī
tirī ḳhātir hī jise chhāñv meñ rakhvāyā hai
suud ke paise jo māñge haiñ chhuḌāne ke liye
tirchhī āñkhoñ meñ tirī ḳhuun utar aayā hai
ye tirī tirchhī adā bhī hai gavāra de de
jeb se maarā huā note karārā de de
naak phūlī huī do naalī tafanche kī tarah
tere tarshe hue abrū ne kiyā dil ghāyal
le ga.e chain mirā pichke hue gaal tire
dil ke darmāñ ke liye aayā huuñ ban kar saa.il
qalb-e-muztar ke liye ālū-buḳhārā de de
jeb se maarā huā note karārā de de
aarzū thī mire bachche tujhe ammī kahte
isī hasrat meñ guzārī hai javānī maiñ ne
shauq-e-aulād ne kyā dil pe sitam toḌe haiñ
saada lafzoñ meñ sunā.ī hai kahānī maiñ ne
ab bhī hai vaqt buḌhāpe kā sahārā de de
jeb se maarā huā note karārā de de
saare kapḌe mire ab ho ga.e Dhīle-Dhāle
na.e fashion kā maiñ patlūn kahāñ se lā.ūñ
'ḳhvāh-maḳhvāh' ā.uñgā sasurāl pahan kar luñgī
gar tirī zid hai ki maiñ panT pahan kar aa.uuñ
le ke patlūn mirī apnā ġharāra de de
jeb se maarā huā note karārā de de
meri mahbub tujhe meri mohabbat ki qasam
apni halki si sharafat ka ishaara de de
jeb se mara hua note karara de de
ai meri jaan mere uljhe hue maqte ki ghazal
jise dekha nahin us KHwab ki ulTi tabir
tu mehrban ho to khil jae mere dil ka kanwal
apni be-laus mohabbat ki dikha de tasir
aa ke dhobi hai khaDa us ka udhaara de de
jeb se mara hua note karara de de
kya bhula sakti hai tu pahli mulaqat apni
meri cycle se jo tu jaan ke Takrai thi
ek din aaD the kuchh baal tere sar pe magar
teri choTi meri muTThi mein simaT aai thi
baal naqli hi sahi un ka utara de de
jeb se mara hua note karara de de
yaad hai tujh ko mere hath ki sone ki ghaDi
teri KHatir hi jise chhanw mein rakhwaya hai
sud ke paise jo mange hain chhuDane ke liye
tirchhi aankhon mein teri KHun utar aaya hai
ye teri tirchhi ada bhi hai gawara de de
jeb se mara hua note karara de de
nak phuli hui do nali tafanche ki tarah
tere tarshe hue abru ne kiya dil ghayal
le gae chain mera pichke hue gal tere
dil ke darman ke liye aaya hun ban kar sail
qalb-e-muztar ke liye aalu-buKHara de de
jeb se mara hua note karara de de
aarzu thi mere bachche tujhe ammi kahte
isi hasrat mein guzari hai jawani main ne
shauq-e-aulad ne kya dil pe sitam toDe hain
sada lafzon mein sunai hai kahani main ne
ab bhi hai waqt buDhape ka sahaara de de
jeb se mara hua note karara de de
sare kapDe mere ab ho gae Dhile-Dhaale
nae fashion ka main patlun kahan se laun
'KHwah-maKHwah' aaunga sasural pahan kar lungi
gar teri zid hai ki main panT pahan kar aaun
le ke patlun meri apna gharara de de
jeb se mara hua note karara de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.