meri jaanib wo Khaalis shorba sarkae jate hain
meri jaanib wo Khaalis shorba sarkae jate hain
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
mirī jānib vo ḳhālis shorbā sarkā.e jaate haiñ
magar ḳhud murġh par apnā karam farmā.e jaate haiñ
kahā thā doctor ne bach ke rahnā ḳhush-ḳhurākī se
magar tauba vo baiThe haiñ to ab tak khaa.e jaate haiñ
chale aao mulāqātoñ kī garmī saath meñ le kar
kahāñ ho tum yahāñ ham june meñ ThanDā.e jaate haiñ
unhīñ se ho gayā rishta hamārā Thiik hai lekin
na jaane phir bhī kyoñ chakkar pe chakkar aa.e jaate haiñ
saḌak par aate jaate sab unheñ pahchān lete the
na ab māshūq hī vaise na āshiq paa.e jaate haiñ
bharosa hai vafādārī pe un kī kah diyā phir bhī
qasam vo haath mere sar pe rakh kar khaa.e jaate haiñ
javānī un ko ghar meñ chain se rahne nahīñ detī
miyāñ 'masrūr' hī mujrim magar Thahrā.e jaate haiñ
meri jaanib wo KHalis shorba sarkae jate hain
magar KHud murgh par apna karam farmae jate hain
kaha tha doctor ne bach ke rahna KHush-KHuraki se
magar tauba wo baiThe hain to ab tak khae jate hain
chale aao mulaqaton ki garmi sath mein le kar
kahan ho tum yahan hum june mein ThanDae jate hain
unhin se ho gaya rishta hamara Thik hai lekin
na jaane phir bhi kyon chakkar pe chakkar aae jate hain
saDak par aate jate sab unhen pahchan lete the
na ab mashuq hi waise na aashiq pae jate hain
bharosa hai wafadari pe un ki kah diya phir bhi
qasam wo hath mere sar pe rakh kar khae jate hain
jawani un ko ghar mein chain se rahne nahin deti
miyan 'masrur' hi mujrim magar Thahrae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.