ghaalib dilli mein
'ġhālib' ne kī ye arz ḳhudāvand-e-zul-jalāl
jannat se kuchh dinoñ ke liye kar mujhe bahāl
mah-vash mire kalām ko sāzoñ pe gaa.e haiñ
qismat ne ba.ad marne ke kyā din dikhā.e haiñ
shā.er jo munharif the vo mar.ūb ho ga.e
aivāñ jo mere naam se mansūb ho ga.e
ḳhādim kā is idāre se rishta hai bāhamī
ik baar maiñ bhī dekh luuñ ġhālib-academy
har shaḳhs ke huzūr maiñ phailā.e haat thā
nā-qadriyoñ ke daur meñ fidvī hayāt thā
hukm-e-ḳhudā huā ki zarā jald jā.iye
duniyā ko jā ke phir se zarā dekh aa.iye
'sāġhar' ba-ehtirām ḳhudā ke vakīl ne
dillī meñ lā ke chhoḌ diyā jibra.īl ne
ik saath do baseñ jo bhanā-bhan guzar ga.iiñ
hūroñ ne jo sañvārī thiiñ zulfeñ bikhar ga.iiñ
kāñdhe se kāñdhā maar ke mah-vash nikal gayā
uulā se saanī sher kā meter badal gayā
baiThe jo bus meñ aur hue hosh bāḳhtā
jannat kī samt uḌtī nazar aa.ī fāḳhta
jhaTke se bas ke reshmī poshāk phaT ga.ī
jhurmuT meñ laḌkiyoñ ke the aur jeb kaT ga.ī
dekhā jo hippiyoñ ko to dil shaad ho ga.e
samjhe ki qaidī qaid se āzād ho ga.e
ḳhufiya police bhī āda-o-atvār dekh kar
pīchhe lagī thī jubba-o-dastār dekh kar
'ġhālib' kī jo nigāh idhar se udhar ga.ī
urdu kī ik kitāb nazar se guzar ga.ī
urdu ke zar-nigār kisī āftāb ne
tote ko ''te'' se likkhā thā ḳhāna-ḳharāb ne
'ġhālib' ye samjhe yaar kahīñ popalā na ho
tasnīf karne vaalā kahīñ totlā na ho
ye daaġh dhul sakeñge na ashkoñ ke dho.e se
tā-umr maiñ ne likkhā hai tote ko ''toy'' se
vallāh be-bulā.e barātī se ho ga.ī
'ġhālib' kī bheñT ek sahāfī se ho ga.ī
bole baḌe vaqār se 'ġhālib' hai merā naam
jannat se saath aa.e haiñ jibra.īl zī-maqām
bole ki kitne logoñ pe 'ġhālib' kā bhuut hai
haiñ aap vāqa.ī koī is kā subūt hai
be-nūr jo charāġh haiñ vo āftāb haiñ
kis kis ko ham batā.eñ ki 'ġhālib' janāb haiñ
vallāh jhuum jā.egī duniyā huzūr kī
jannat se saath laayā huuñ tasvīr huur kī
tasvīr dekh kar kahā suniye baḌe miyāñ
is shakl kī mileñgī hazāroñ hī laḌkiyāñ
hūroñ se gaah gaah jo ḳhat maiñ ne paa.e haiñ
jibra.īl apne saath vo sab le ke aa.e haiñ
ḳhat paḌh ke bole vaah yahī ḳhat haiñ kyā janāb
jin meñ na soz-o-sāz na shikve na iztirāb
ye ḳhat bhī paḌh ke dekhiye jo mere paas haiñ
hūroñ se baḌh ke laḌkiyāñ yaañ advance haiñ
har ārzu-e-dil ko ba-tasvīr likhtī haiñ
maatā pitā ko paañv kī zanjīr likhtī haiñ
aa.e the chaar roz ko jaldī guzar ga.e
'ġhālib' vafūr-e-sharm se do din meñ mar ga.e
pūchhā ḳhudā ne haal to 'ġhālib' ne ye kahā
jannat se ab na jā.egā ye banda-e-ḳhudā
jiinā zamāne vāloñ ne dushvār kar diyā
pahchānñe se bhī mire inkār kar diyā
aa.ī sadā-e-haq ki yahī band-o-bast haiñ
tere vatan ke log to murda-parast haiñ
'ghaalib' ne ki ye arz KHudawand-e-zul-jalal
jannat se kuchh dinon ke liye kar mujhe bahaal
mah-wash mere kalam ko sazon pe gae hain
qismat ne baad marne ke kya din dikhae hain
shaer jo munharif the wo marub ho gae
aiwan jo mere nam se mansub ho gae
KHadim ka is idare se rishta hai bahami
ek bar main bhi dekh lun ghaalib-academy
har shaKHs ke huzur main phailae hat tha
na-qadriyon ke daur mein fidwi hayat tha
hukm-e-KHuda hua ki zara jald jaiye
duniya ko ja ke phir se zara dekh aaiye
'saghar' ba-ehtiram KHuda ke wakil ne
dilli mein la ke chhoD diya jibrail ne
ek sath do basen jo bhana-bhan guzar gain
huron ne jo sanwari thin zulfen bikhar gain
kandhe se kandha mar ke mah-wash nikal gaya
ula se sani sher ka meter badal gaya
baiThe jo bus mein aur hue hosh baKHta
jannat ki samt uDti nazar aai faKHta
jhaTke se bas ke reshmi poshak phaT gai
jhurmuT mein laDkiyon ke the aur jeb kaT gai
dekha jo hippiyon ko to dil shad ho gae
samjhe ki qaidi qaid se aazad ho gae
KHufiya police bhi aada-o-atwar dekh kar
pichhe lagi thi jubba-o-dastar dekh kar
'ghaalib' ki jo nigah idhar se udhar gai
urdu ki ek kitab nazar se guzar gai
urdu ke zar-nigar kisi aaftab ne
tote ko te se likkha tha KHana-KHarab ne
'ghaalib' ye samjhe yar kahin popala na ho
tasnif karne wala kahin totla na ho
ye dagh dhul sakenge na ashkon ke dhoe se
ta-umr main ne likkha hai tote ko toy se
wallah be-bulae baraati se ho gai
'ghaalib' ki bhenT ek sahafi se ho gai
bole baDe waqar se 'ghaalib' hai mera nam
jannat se sath aae hain jibrail zi-maqam
bole ki kitne logon pe 'ghaalib' ka bhut hai
hain aap waqai koi is ka subut hai
be-nur jo charagh hain wo aaftab hain
kis kis ko hum bataen ki 'ghaalib' janab hain
wallah jhum jaegi duniya huzur ki
jannat se sath laya hun taswir hur ki
taswir dekh kar kaha suniye baDe miyan
is shakl ki milengi hazaron hi laDkiyan
huron se gah gah jo KHat main ne pae hain
jibrail apne sath wo sab le ke aae hain
KHat paDh ke bole wah yahi KHat hain kya janab
jin mein na soz-o-saz na shikwe na iztirab
ye KHat bhi paDh ke dekhiye jo mere pas hain
huron se baDh ke laDkiyan yan adwance hain
har aarzu-e-dil ko ba-taswir likhti hain
mata pita ko panw ki zanjir likhti hain
aae the chaar roz ko jaldi guzar gae
'ghaalib' wafur-e-sharm se do din mein mar gae
puchha KHuda ne haal to 'ghaalib' ne ye kaha
jannat se ab na jaega ye banda-e-KHuda
jina zamane walon ne dushwar kar diya
pahchanne se bhi mere inkar kar diya
aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere watan ke log to murda-parast hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.