ghaalib ko bura kyun kaho
kal ek nāqid-e-'ġhālib' ne mujh se ye pūchhā
ki qadr-e-'ġhālib'-e-marhūm kā sabab kyā hai
mujhe batāo ki dīvān-e-hazrat-e-'ġhālib'
kalām-e-pāk hai injīl hai ki giitā hai
sunā hai shahr-e-karachi meñ ek sāhab haiñ
kalām un kā bhī 'ġhālib' se miltā jultā hai
hamārā dost tufailī bhī hai baḌā shā.er
agarche ek baḌe aadmī kā chamcha hai
to phir ye ġhālib-e-marhūm kī hī barsī kyuuñ
mujhe batāo ki un meñ ḳhusūsiyat kyā hai
na 'zauq' kā hai kahīñ tazkira na 'momin' kā
na zikr-e-'mīr' kahīñ hai na yaum-e-'saudā' hai
ye 'faiz' o 'māhir' o 'josh' o 'firāq' kuchh bhī kaheñ
mirī nazar meñ to 'ġhālib' se zauq ūñchā hai
mujhe to 'mīr-taqī-mīr' se hai ek lagāv
ki 'mīr' kuchh bhī sahī shā.erī to kartā hai
ye rañg laa.ī hai 'ġhālib' kī party-bandī
ki aaj saare jahāñ meñ usī kā charchā hai
ye ruus vaale jo 'ġhālib' pe jaan dete haiñ
mire ḳhayāl meñ is meñ bhī koī ghaplā hai
kahāñ ke aise baḌe artist the 'ġhālib'
ye chand ahl-e-adab kā propaganda hai
anā ne maar diyā varna shā.er achchhā thā
natīja ye ki jo honā thā us kā aadhā hai
likhī hai ek ġhazal kī radīf ''hone tak''
koī batā.e ki kyā ye bhī sahv-e-imlā hai
kabhī hai mahv hasīnoñ se dhaul-dhappā meñ
kabhī kisī kā vo sote meñ bosa letā hai
jo kah rahe haiñ ki 'ġhālib' hai falsafī shā.er
mujhe batā.eñ ki bose meñ falsafa kyā hai
jahāñ raqam kī tavaqqo huī qasīda kahā
tumhīñ kaho ki ye me.ār-e-shā.erī kyā hai
sharāb jaam meñ hai aur jaam hāthoñ meñ
magar ye rind-e-balā-nosh phir bhī pyāsā hai
jo shā.erī ho tajammul-husain-ḳhāñ ke liye
vo ik tarah kī ḳhushāmad hai shā.erī kyā hai
ḳhitāb o ḳhil.at o darbār ke liye us ne
na jaane kitne amīroñ pe jaal Daalā hai
sunā ye hai ki vo suufī bhī thā valī bhī thā
ab is ke ba.ad to paiġhambarī kā darja hai
kahā jo maiñ ne ki paḌhiye to pahle 'ġhālib' ko
to bole ḳhaak paḌhūñ mudda.ā to anqā hai
mujhe ḳhabar hai ki 'ġhālib' kī zindagī kyā thī
ki maiñ ne hazrat-e-ġhālib kā film dekhā hai
sunī jo maiñ ne ye tanqīd to samajh na sakā
ki is ġharīb ko 'ġhālib' se dushmanī kyā hai
samajh gayā ki ye bakvās be-sabab to nahīñ
dimāġh kā koī purza zarūr Dhīlā hai
baḌhī jo baat to phir maiñ ne us ko samjhāyā
adab meñ hazrat-e-ġhālib kā martaba kyā hai
batāyā us ko ki vo zindagī kā hai shā.er
bahut qarīb se duniyā ko us ne dekhā hai
ajab tazād kī hāmil hai us kī shaḳhsiyyat
ajiib shaḳhs hai barbād ho ke hañstā hai
charāġh-e-sub.h kī mānind zindagī us kī
ik aasrā hai ik armāñ hai ik tamannā hai
jo us ko roknā chāho to aur tez bahe
ajiib mauj-e-ravāñ hai ajiib dariyā hai
chipak rahā hai badan par lahū se pairāhan
rafū kī us ko zarūrat hai aur na parvā hai
vo likh rahā hai hikāyāt-e-ḳhūñ-chakān-e-junūn
jabhī to us ke qalam se lahū Tapaktā hai
bas ek lafz ke parde meñ dāstāñ kahnā
ye fikr-o-fan kī bulandī usī kā hissa hai
na kyuuñ hoñ aaj vo mash.hūr puurī duniyā meñ
ki us kī fikr kā mauzūa puurī duniyā hai
pahuñch gayā hai vo us manzil-e-tafakkur par
jahāñ dimāġh bhī dil kī tarah dhaḌaktā hai
kabhī to us kā koī sher-e-sāda-o-rañgīñ
ruḳh-e-bashar kī tarah kaifiyat badaltā hai
ye ham ne maanā ki kuchh ḳhāmiyāñ bhī thiiñ us meñ
vo ḳhāmiyāñ nahīñ rakhtā ye kis kā da.avā hai
vo aadmī thā ḳhatā aadmī kī hai fitrat
ye kyuuñ kaheñ ki vo insāñ nahīñ farishta hai
jo chāhte haiñ ki fauq-ul-bashar banā deñ use
hameñ to us ke un ahbāb se bhī shikva hai
hazār logoñ ne chāhā ki us ke saath chaleñ
magar vo pahle bhī tanhā thā ab bhī tanhā hai
kabhī valī kabhī vaa.iz kabhī ḳharābātī
samajh sako to samajh lo vo ik mo.ammā hai
agar ye sach hai ki alfāz ruuh rakhte haiñ
to ye bhī sach hai vo alfāz kā masīhā hai
kal ek naqid-e-'ghaalib' ne mujh se ye puchha
ki qadr-e-'ghaalib'-e-marhum ka sabab kya hai
mujhe batao ki diwan-e-hazrat-e-'ghaalib'
kalam-e-pak hai injil hai ki gita hai
suna hai shahr-e-karachi mein ek sahab hain
kalam un ka bhi 'ghaalib' se milta julta hai
hamara dost tufaili bhi hai baDa shaer
agarche ek baDe aadmi ka chamcha hai
to phir ye ghaalib-e-marhum ki hi barsi kyun
mujhe batao ki un mein KHususiyat kya hai
na 'zauq' ka hai kahin tazkira na 'momin' ka
na zikr-e-'mir' kahin hai na yaum-e-'sauda' hai
ye 'faiz' o 'mahir' o 'josh' o 'firaq' kuchh bhi kahen
meri nazar mein to 'ghaalib' se zauq uncha hai
mujhe to 'mir-taqi-mir' se hai ek lagaw
ki 'mir' kuchh bhi sahi shaeri to karta hai
ye rang lai hai 'ghaalib' ki party-bandi
ki aaj sare jahan mein usi ka charcha hai
ye rus wale jo 'ghaalib' pe jaan dete hain
mere KHayal mein is mein bhi koi ghapla hai
kahan ke aise baDe artist the 'ghaalib'
ye chand ahl-e-adab ka propaganda hai
ana ne mar diya warna shaer achchha tha
natija ye ki jo hona tha us ka aadha hai
likhi hai ek ghazal ki radif hone tak
koi batae ki kya ye bhi sahw-e-imla hai
kabhi hai mahw hasinon se dhaul-dhappa mein
kabhi kisi ka wo sote mein bosa leta hai
jo kah rahe hain ki 'ghaalib' hai falsafi shaer
mujhe bataen ki bose mein falsafa kya hai
jahan raqam ki tawaqqo hui qasida kaha
tumhin kaho ki ye mear-e-shaeri kya hai
sharab jam mein hai aur jam hathon mein
magar ye rind-e-bala-nosh phir bhi pyasa hai
jo shaeri ho tajammul-husain-KHan ke liye
wo ek tarah ki KHushamad hai shaeri kya hai
KHitab o KHilat o darbar ke liye us ne
na jaane kitne amiron pe jal Dala hai
suna ye hai ki wo sufi bhi tha wali bhi tha
ab is ke baad to paighambari ka darja hai
kaha jo main ne ki paDhiye to pahle 'ghaalib' ko
to bole KHak paDhun muddaa to anqa hai
mujhe KHabar hai ki 'ghaalib' ki zindagi kya thi
ki main ne hazrat-e-ghaalib ka film dekha hai
suni jo main ne ye tanqid to samajh na saka
ki is gharib ko 'ghaalib' se dushmani kya hai
samajh gaya ki ye bakwas be-sabab to nahin
dimagh ka koi purza zarur Dhila hai
baDhi jo baat to phir main ne us ko samjhaya
adab mein hazrat-e-ghaalib ka martaba kya hai
bataya us ko ki wo zindagi ka hai shaer
bahut qarib se duniya ko us ne dekha hai
ajab tazad ki hamil hai us ki shaKHsiyyat
ajib shaKHs hai barbaad ho ke hansta hai
charagh-e-subh ki manind zindagi us ki
ek aasra hai ek arman hai ek tamanna hai
jo us ko rokna chaho to aur tez bahe
ajib mauj-e-rawan hai ajib dariya hai
chipak raha hai badan par lahu se pairahan
rafu ki us ko zarurat hai aur na parwa hai
wo likh raha hai hikayat-e-KHun-chakan-e-junun
jabhi to us ke qalam se lahu Tapakta hai
bas ek lafz ke parde mein dastan kahna
ye fikr-o-fan ki bulandi usi ka hissa hai
na kyun hon aaj wo mashhur puri duniya mein
ki us ki fikr ka mauzua puri duniya hai
pahunch gaya hai wo us manzil-e-tafakkur par
jahan dimagh bhi dil ki tarah dhaDakta hai
kabhi to us ka koi sher-e-sada-o-rangin
ruKH-e-bashar ki tarah kaifiyat badalta hai
ye hum ne mana ki kuchh KHamiyan bhi thin us mein
wo KHamiyan nahin rakhta ye kis ka dawa hai
wo aadmi tha KHata aadmi ki hai fitrat
ye kyun kahen ki wo insan nahin farishta hai
jo chahte hain ki fauq-ul-bashar bana den use
hamein to us ke un ahbab se bhi shikwa hai
hazar logon ne chaha ki us ke sath chalen
magar wo pahle bhi tanha tha ab bhi tanha hai
kabhi wali kabhi waiz kabhi KHarabaati
samajh sako to samajh lo wo ek moamma hai
agar ye sach hai ki alfaz ruh rakhte hain
to ye bhi sach hai wo alfaz ka masiha hai
- Book : Kulliyat-e-Dilavar Figar (Pg. 276)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.