london mein jashn-e-ghaalib
london meñ jashn-e-hazrat-e-'ġhālib' kī raat thī
tārīḳh-e-shā.erī meñ ye ik vārdāt thī
is jashn meñ sharīk the har mulk ke vafūd
hal ho gayā thā mas.ala-e-vahdat-ul-vajūd
jannat se mīrzā ko jo kankārd le chalā
pur ho gayā safar se jo thā raah meñ ḳhalā
mirzā ke paas box meñ tambākū thī faqat
custam ke afsaroñ ne use samjhā hī ġhalat
afsar ne passport jo un se talab kiyā
kahne lage ki aap ne ye kyā ġhazab kiyā
sach baat to yahī hai vo ab nek ho ki bad
mulkoñ kī sarhadoñ ko nahīñ mānte 'asad'
tārīḳh kī hai fikr na juġhrāfi.e kī hai
shā.er huuñ maiñ talāsh mujhe qāfiye kī hai
aam aadmī kī tarah mirā passport kyuuñ
''maiñ andalīb-e-gulshan-e-nā-āfrīda hūñ''
maiñ kab yahāñ makān banāne ko aayā huuñ
london meñ apnā jashn manāne ko aayā huuñ
añgrez ke qasīde jo likkhe the yaad haiñ
nazmeñ kuchh aur bhī haiñ jo muhtāj-e-dād haiñ
mujh ko numūd-o-nām kī parvā nahīñ magar
bulvāyā b.b.c ne to pahuñchūñgā vaqt par
'ġhālib' jo restoran meñ pahuñche ba-vaqt-e-shām
baire se ye kahā ki karo merā intizām
mañgvāo vo jo ātish-e-sayyāl paas hai
''is balġhamī mizāj ko garmī hī raas hai''
stage par jo ho ga.e ab jalva-gar asad
ustād 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad
nāzim mushā.ere kā ye bolā ki hāzirīn
'ġhālib' ko dekhne ko na aa.eñ tamāsh-bīn
'ġhālib' kī shaḳhsiyyat meñ mahāsin haiñ be-shumār
ye aadmī valī thā na hotā jo bāda-ḳhvār
ye shaḳhs jis ko vaqt ne būḌhā banāyā hai
ham ne ise barāt kā dūlhā banāyā hai
biivī se baat kiije na saalī se pūchhiye
'ġhālib' kā kyā maqām hai haalī se pūchhiye
sehhat se kam nahīñ hai use bahrā-pan kā rog
bahrā jo is ko kahte haiñ be-bahra haiñ vo log
be-teġh kyuuñ laḌegā ye shā.er jo hai jarī
sau pusht se hai pesha-e-ābā sipah-garī
ye chāhtā hai ghar meñ tirī jalva-gāh ho
''dekho ise jo dīda-e-ibrat nigāh ho''
tahzīb o fan ko rañg-e-muġhal is ne de diyā
urdu ko ek taaj mahal is ne de diyā
is ne zabān-e-'mīr' ko hindī kā ras diyā
urdu ġhazal ko is ne nayā canvas diyā
'ġhālib' jo apne jashn meñ baiThe haiñ shaan se
in kā kalām suniye ab in kī zabān se
'ġhālib' ne tiis ġhazleñ sunā.īñ jo sub.h tak
har sher note kartā rahā munshī-e-falak
taqrīb jab ye ḳhatm huī sub.h ke qarīb
stage ko jo dekhā to ġhā.eb the sab adiib
jalsa meñ muhtamim kā bhī koī pata na thā
dariyāñ thiiñ gaao takiye the aur shāmiyāna thā
kyā pūchhte ho haal jo 'ġhālib' kā aaj thā
pocket meñ ek paisa na thā sar pe taaj thā
london mein jashn-e-hazrat-e-'ghaalib' ki raat thi
tariKH-e-shaeri mein ye ek wardat thi
is jashn mein sharik the har mulk ke wafud
hal ho gaya tha masala-e-wahdat-ul-wajud
jannat se mirza ko jo kankard le chala
pur ho gaya safar se jo tha rah mein KHala
mirza ke pas box mein tambaku thi faqat
custam ke afsaron ne use samjha hi ghalat
afsar ne passport jo un se talab kiya
kahne lage ki aap ne ye kya ghazab kiya
sach baat to yahi hai wo ab nek ho ki bad
mulkon ki sarhadon ko nahin mante 'asad'
tariKH ki hai fikr na jughrafie ki hai
shaer hun main talash mujhe qafiye ki hai
aam aadmi ki tarah mera passport kyun
main andalib-e-gulshan-e-na-afrida hun
main kab yahan makan banane ko aaya hun
london mein apna jashn manane ko aaya hun
angrez ke qaside jo likkhe the yaad hain
nazmen kuchh aur bhi hain jo muhtaj-e-dad hain
mujh ko numud-o-nam ki parwa nahin magar
bulwaya bbc ne to pahunchunga waqt par
'ghaalib' jo restoran mein pahunche ba-waqt-e-sham
baire se ye kaha ki karo mera intizam
mangwao wo jo aatish-e-sayyal pas hai
is balghami mizaj ko garmi hi ras hai
stage par jo ho gae ab jalwa-gar asad
ustad 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad
nazim mushaere ka ye bola ki hazirin
'ghaalib' ko dekhne ko na aaen tamash-bin
'ghaalib' ki shaKHsiyyat mein mahasin hain be-shumar
ye aadmi wali tha na hota jo baada-KHwar
ye shaKHs jis ko waqt ne buDha banaya hai
hum ne ise baraat ka dulha banaya hai
biwi se baat kije na sali se puchhiye
'ghaalib' ka kya maqam hai haali se puchhiye
sehhat se kam nahin hai use bahra-pan ka rog
bahra jo is ko kahte hain be-bahra hain wo log
be-tegh kyun laDega ye shaer jo hai jari
sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari
ye chahta hai ghar mein teri jalwa-gah ho
dekho ise jo dida-e-ibrat nigah ho
tahzib o fan ko rang-e-mughal is ne de diya
urdu ko ek taj mahal is ne de diya
is ne zaban-e-'mir' ko hindi ka ras diya
urdu ghazal ko is ne naya canwas diya
'ghaalib' jo apne jashn mein baiThe hain shan se
in ka kalam suniye ab in ki zaban se
'ghaalib' ne tis ghazlen sunain jo subh tak
har sher note karta raha munshi-e-falak
taqrib jab ye KHatm hui subh ke qarib
stage ko jo dekha to ghaeb the sab adib
jalsa mein muhtamim ka bhi koi pata na tha
dariyan thin gao takiye the aur shamiyana tha
kya puchhte ho haal jo 'ghaalib' ka aaj tha
pocket mein ek paisa na tha sar pe taj tha
- Book : Feesabilillah (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.