miThai agar tujhko pyari na hoti
miThā.ī agar tujh ko pyārī na hotī
tirī toñd phir itnī bhārī na hotī
na hotā agar kaam dar-pesh tum se
to yuuñ roz tīmār-dārī na hotī
agar team meñ ik bhī hotā khilāḌī
to team apnī har baar haarī na hotī
qatar se na laate agar māl-o-daulat
mohalle meñ izzat tumhārī na hotī
agar chhoḌ kar vo na martā virāsat
pas-e-marg yuuñ āh-o-zārī na hotī
agar garm karte na baabū kī muTThī
to āsān mushkil tumhārī na hotī
miThai agar tujh ko pyari na hoti
teri tond phir itni bhaari na hoti
na hota agar kaam dar-pesh tum se
to yun roz timar-dari na hoti
agar team mein ek bhi hota khilaDi
to team apni har bar haari na hoti
qatar se na late agar mal-o-daulat
mohalle mein izzat tumhaari na hoti
agar chhoD kar wo na marta wirasat
pas-e-marg yun aah-o-zari na hoti
agar garm karte na babu ki muTThi
to aasan mushkil tumhaari na hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.