mohabbat ki jis ko KHumari lage
mohabbat kī jis ko ḳhumārī lage
biyāhī bhī us ko kuñvārī lage
huī umr sattar bahattar magar
ġharāre meñ goTā-kanārī lage
haqīqat to ye hai ki bād-e-sumūm
javānī meñ bād-e-bahārī lage
jo baiThā hai bagulā bhagat kī tarah
vahī ham ko aslī shikārī lage
jo khelā halākū ne chañgez ne
vo khel ab bhī duniyā meñ jaarī lage
adab meñ bhī jaarī ḳharīd o faroḳht
jise dekho vo byopārī lage
siyāsat meñ aisī uchhal-kūd hai
ki har ek netā madārī lage
ye ġhurbat ye fāqoñ kā ik silsila
hameñ to ye roza hazārī lage
hamārī ra.ūnat bhī kyā chiiz hai
ki yāroñ ko vo ḳhāksārī lage
jo samjhe mohabbat ko ik chokleT
yaqīnan havas kā chusārī lage
nibhā.ūñgā pakḌā hai jab us kā haath
khaTārā lage yā khaTārī lage
lageñ zahr ham ko 'zafar' vāldain
magar apnī dulhan dulārī lage
mohabbat ki jis ko KHumari lage
biyahi bhi us ko kunwari lage
hui umr sattar bahattar magar
gharare mein goTa-kanari lage
haqiqat to ye hai ki baad-e-sumum
jawani mein baad-e-bahaari lage
jo baiTha hai bagula bhagat ki tarah
wahi hum ko asli shikari lage
jo khela halaku ne changez ne
wo khel ab bhi duniya mein jari lage
adab mein bhi jari KHarid o faroKHt
jise dekho wo byopari lage
siyasat mein aisi uchhal-kud hai
ki har ek neta madari lage
ye ghurbat ye faqon ka ek silsila
hamein to ye roza hazari lage
hamari raunat bhi kya chiz hai
ki yaron ko wo KHaksari lage
jo samjhe mohabbat ko ek chokleT
yaqinan hawas ka chusari lage
nibhaunga pakDa hai jab us ka hath
khaTara lage ya khaTari lage
lagen zahr hum ko 'zafar' waldain
magar apni dulhan dulari lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.