mujhko ruKH kya dikha diya tu ne
lamp goyā jalā diyā tū ne
ham na sunte the qissa-e-dushman
radio par sunā diyā tū ne
maiñ bhī ai jaañ koī harījan thā
bazm se kyuuñ uThā diyā tū ne
gā ke mahfil meñ be-surā gaanā
mujh ko ronā sikhā diyā tū ne
kyā hī kahne haiñ tere dīda-e-tar
ek nalka bahā diyā tū ne
terī ulfat kī intihā ye hai
ranj be-intihā diyā tū ne
maiñ ne lailā banā diyā tujh ko
mujh ko 'laq-laq' banā diyā tū ne
lamp goya jala diya tu ne
hum na sunte the qissa-e-dushman
radio par suna diya tu ne
main bhi ai jaan koi harijan tha
bazm se kyun uTha diya tu ne
ga ke mahfil mein be-sura gana
mujh ko rona sikha diya tu ne
kya hi kahne hain tere dida-e-tar
ek nalka baha diya tu ne
teri ulfat ki intiha ye hai
ranj be-intiha diya tu ne
main ne laila bana diya tujh ko
mujh ko 'laq-laq' bana diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.