mujhse mat kar yar kuchh guftar main roze se hun
mujh se mat kar yaar kuchh guftār maiñ roze se huuñ
ho na jaa.e tujh se bhī takrār maiñ roze se huuñ
har kisī se karb kā iz.hār maiñ roze se huuñ
do kisī aḳhbār ko ye taar maiñ roze se huuñ
merā roza ik baḌā ehsān hai logo ke sar
mujh ko Daalo motiye ke haar maiñ roze se huuñ
maiñ ne har file kī dumchī par ye misra.a likh diyā
kaam ho saktā nahīñ sarkār maiñ roze se huuñ
ai mirī biivī mire raste se kuchh katrā ke chal
ai mire bachcho zarā hoshyār maiñ roze se huuñ
shaam ko bahr-e-ziyārat aa to saktā huuñ magar
note kar leñ dost rishte-dār maiñ roze se huuñ
tū ye kahtā hai lahn-tar ho koī taaza ġhazal
maiñ ye kahtā huuñ ki bar-ḳhurdār maiñ roze se huuñ
mujh se mat kar yar kuchh guftar main roze se hun
ho na jae tujh se bhi takrar main roze se hun
har kisi se karb ka izhaar main roze se hun
do kisi aKHbar ko ye tar main roze se hun
mera roza ek baDa ehsan hai logo ke sar
mujh ko Dalo motiye ke haar main roze se hun
main ne har file ki dumchi par ye misra likh diya
kaam ho sakta nahin sarkar main roze se hun
ai meri biwi mere raste se kuchh katra ke chal
ai mere bachcho zara hoshyar main roze se hun
sham ko bahr-e-ziyarat aa to sakta hun magar
note kar len dost rishte-dar main roze se hun
tu ye kahta hai lahn-tar ho koi taza ghazal
main ye kahta hun ki bar-KHurdar main roze se hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.