maine kaha ki shahr ke haq mein dua karo
maiñ ne kahā ki shahr ke haq meñ duā karo
us ne kahā ki baat ġhalat mat kahā karo
maiñ ne kahā ki raat se bijlī bhī band hai
us ne kahā ki haath se pañkhā jhalā karo
maiñ ne kahā ki shahr meñ paanī kā qaht hai
us ne kahā ki pepsi cola piyā karo
maiñ ne kahā ki car Dakaitoñ ne chhīn lī
us ne kahā ki achchhā hai paidal chalā karo
maiñ ne kahā ki kaam hai na koī kārobār
us ne kahā ki shā.irī par iktifā karo
maiñ ne kahā ki sau kī bhī gintī nahīñ hai yaad
us ne kahā ki raat ko taare ginā karo
maiñ ne kahā ki hai mujhe kursī kī aarzū
us ne kahā ki āyat-e-kursī paḌhā karo
maiñ ne kahā ġhazal paḌhī jaatī nahīñ sahīh
us ne kahā ki pahle rehearsal kiyā karo
maiñ ne kahā ki kaise kahī jaatī hai ġhazal
us ne kahā ki merī ġhazal gā diyā karo
har baat par jo kahtā rahā maiñ bajā bajā
us ne kahā ki yuuñ hī musalsal bajā karo
main ne kaha ki shahr ke haq mein dua karo
us ne kaha ki baat ghalat mat kaha karo
main ne kaha ki raat se bijli bhi band hai
us ne kaha ki hath se pankha jhala karo
main ne kaha ki shahr mein pani ka qaht hai
us ne kaha ki pepsi cola piya karo
main ne kaha ki car Dakaiton ne chhin li
us ne kaha ki achchha hai paidal chala karo
main ne kaha ki kaam hai na koi karobar
us ne kaha ki shairi par iktifa karo
main ne kaha ki sau ki bhi ginti nahin hai yaad
us ne kaha ki raat ko tare gina karo
main ne kaha ki hai mujhe kursi ki aarzu
us ne kaha ki aayat-e-kursi paDha karo
main ne kaha ghazal paDhi jati nahin sahih
us ne kaha ki pahle rehearsal kiya karo
main ne kaha ki kaise kahi jati hai ghazal
us ne kaha ki meri ghazal ga diya karo
har baat par jo kahta raha main baja baja
us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 139)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.