mulla-ji ki biwi ka jawab
chauthī shādī kar ke mullā-jī bahut shādāñ hue
apnī qismat kī bulandī dekh kar nāzāñ hue
yuuñ javānoñ kī tarah laa.e dulhan ko saath meñ
aa ga.ī ho jaise sultāna kahīñ kī haath meñ
pahle hī din saare ghar kā jā.eza us ne liyā
apne shauhar kī nazar kā jā.eza us ne liyā
chaar kīleñ ḳhaas kamre meñ nazar aa.iiñ use
tiin kīloñ par dupaTTe bhī nazar aa.e Tañge
mullā-jī se us ne pūchhā ye dupaTTe kis ke haiñ
ye hai kis kis kī nishānī ye atīye kis ke haiñ
mullā-jī ne yuuñ diyā us ke savāloñ kā javāb
ai mirī pyārī dulhan ai āftāb o mahtāb
begamāt-e-sābiqa jo is jahāñ se uTh ga.iiñ
ye dupaTTe haiñ inhīñ kī yādgār-e-dil-nashīñ
jab tum is duniyā se uTh jāogī ai jān-e-jahāñ
tab tumhārā bhī dupaTTa Taañg dūñgā maiñ yahāñ
bolīñ begam maut ke panje meñ shauhar aa.egā
ab dupaTTe kā nahīñ Topī kā number aa.egā
chauthi shadi kar ke mulla-ji bahut shadan hue
apni qismat ki bulandi dekh kar nazan hue
yun jawanon ki tarah lae dulhan ko sath mein
aa gai ho jaise sultana kahin ki hath mein
pahle hi din sare ghar ka jaeza us ne liya
apne shauhar ki nazar ka jaeza us ne liya
chaar kilen KHas kamre mein nazar aain use
tin kilon par dupaTTe bhi nazar aae Tange
mulla-ji se us ne puchha ye dupaTTe kis ke hain
ye hai kis kis ki nishani ye atiye kis ke hain
mulla-ji ne yun diya us ke sawalon ka jawab
ai meri pyari dulhan ai aaftab o mahtab
begamat-e-sabiqa jo is jahan se uTh gain
ye dupaTTe hain inhin ki yaadgar-e-dil-nashin
jab tum is duniya se uTh jaogi ai jaan-e-jahan
tab tumhaara bhi dupaTTa Tang dunga main yahan
bolin begam maut ke panje mein shauhar aaega
ab dupaTTe ka nahin Topi ka number aaega
- Book : Hans Kar Guzaar De (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.