mushaera hoga
bas ek hafte meñ apnā mushā.era hogā
huā hai bhābī ke beTā mushā.era hogā
na sāz-o-raqs kī mahfil na bazm-e-qavvālī
hamārī shādī meñ tanhā mushā.era hogā
tumhīñ batāo gale-bāz shā.eroñ ke baġhair
agar huā bhī to kaisā mushā.era hogā
uThīñ hazār sadā.eñ mushā.ere ke ḳhilāf
hamārā da.avā hai hogā mushā.era hogā
bilā bulā.e bhī mumkin huā to jā.ūñgā
kisī kā hogā kahīñ kā mushā.era hogā
jo bad-nasībī se kal ko mulāzmat na rahī
shikam kā apne sahārā mushā.era hogā
kiyā hai aane kā va.ada ḳhumār-sāhab ne
hameñ yaqīñ hai ki achchhā mushā.era hogā
kisī kā jashn-e-vilādat kisī kā yaum-e-vafāt
yūñhī hamesha hamārā mushā.era hogā
sunā hai baap banegā ab ek bachche kā
hamāre saale kā saalā mushā.era hogā
hamāre shahr meñ haiñ 'pāpular' bahut shā.er
sab aa.eñ to ka.ī din kā mushā.era hogā
bas ek hafte mein apna mushaera hoga
hua hai bhabi ke beTa mushaera hoga
na saz-o-raqs ki mahfil na bazm-e-qawwali
hamari shadi mein tanha mushaera hoga
tumhin batao gale-baz shaeron ke baghair
agar hua bhi to kaisa mushaera hoga
uThin hazar sadaen mushaere ke KHilaf
hamara dawa hai hoga mushaera hoga
bila bulae bhi mumkin hua to jaunga
kisi ka hoga kahin ka mushaera hoga
jo bad-nasibi se kal ko mulazmat na rahi
shikam ka apne sahaara mushaera hoga
kiya hai aane ka wada KHumar-sahab ne
hamein yaqin hai ki achchha mushaera hoga
kisi ka jashn-e-wiladat kisi ka yaum-e-wafat
yunhi hamesha hamara mushaera hoga
suna hai bap banega ab ek bachche ka
hamare sale ka sala mushaera hoga
hamare shahr mein hain 'papular' bahut shaer
sab aaen to kai din ka mushaera hoga
- Book : Ha.ns Kar Guzar De (Pg. 109)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Jamia Nagar (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.