music director
kabhī saare kabhī gaamā kabhī pādhā kabhī niisā
masāla jaan kar is nai sadā har giit ko paisā
kabhī us ne milā dekhā jo muulī ko chuqandar se
to laayā duur kī kauḌī ye sargam ke samundar se
banā.ī jo bhī tarz us ne vo fan kī jaan hotī thī
ki us meñ uuñT kī gardan se lambī taan hotī thī
nahīñ thā chor lekin koī tohmat aa bhī jaatī thī
kisī kī dhun se us kī dhun kabhī Takrā bhī jaatī thī
kiye haiñ bhānje recording meñ shāmil-e-bājā
likhāyā giit bāvarchī se us ne ''āsūre-rājā
ye aksar shā.iroñ ko be-tarah islāh detā hai
aur us par apne sāzindoñ se khul kar daad letā hai
mohūrat par sadā us ke lage meñ haar hote the
zarūrat par use do ghoñT bhī darkār hote the
barhaman ko gavā.īñ Thumriyāñ is ne shivāle meñ
ḳhudā-baḳhshe bahut sī ḳhūbiyāñ thiiñ marne vaale meñ
kabhi sare kabhi gama kabhi padha kabhi nisa
masala jaan kar is nai sada har git ko paisa
kabhi us ne mila dekha jo muli ko chuqandar se
to laya dur ki kauDi ye sargam ke samundar se
banai jo bhi tarz us ne wo fan ki jaan hoti thi
ki us mein unT ki gardan se lambi tan hoti thi
nahin tha chor lekin koi tohmat aa bhi jati thi
kisi ki dhun se us ki dhun kabhi Takra bhi jati thi
kiye hain bhanje recording mein shamil-e-baja
likhaya git bawarchi se us ne aasure-raja
ye aksar shairon ko be-tarah islah deta hai
aur us par apne sazindon se khul kar dad leta hai
mohurat par sada us ke lage mein haar hote the
zarurat par use do ghonT bhi darkar hote the
barhaman ko gawain Thumriyan is ne shiwale mein
KHuda-baKHshe bahut si KHubiyan thin marne wale mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.