mutalba
bas ye nahīñ hasīn-o-ḳhush-atvār chāhiye
laḌkī hasīn sūrat-e-gulnār chāhiye
karte haiñ aap agar mirī shādī kī bāt-chīt
fihrist se na jur.at-e-inkār chāhiye
suniye baġhaur nikle jo merī zabān se
shādī se peshtar mujhe ik car chāhiye
phir is ke saath saath ye lāzim hai aap ko
achchhā driver koī hushiyār chāhiye
shādī ke baa'd hī mire rahne ke vāste
ik ḳhushnumā flat bhī tayyār chāhiye
ḳhidmat ko merī chand mulāzim bhī hoñ zarūr
buldog ek sher sā ḳhuñḳhār chāhiye
har saal mere naam se chanda bharā kareñ
paḌhne ke vāste mujhe aḳhbār chāhiye
shādī ke baa'd ḳhatm na hogā ye silsila
ya.anī tamām umr ye bevhār chāhiye
bas ye nahin hasin-o-KHush-atwar chahiye
laDki hasin surat-e-gulnar chahiye
karte hain aap agar meri shadi ki baat-chit
fihrist se na jurat-e-inkar chahiye
suniye baghaur nikle jo meri zaban se
shadi se peshtar mujhe ek car chahiye
phir is ke sath sath ye lazim hai aap ko
achchha driwer koi hushiyar chahiye
shadi ke ba'd hi mere rahne ke waste
ek KHushnuma flat bhi tayyar chahiye
KHidmat ko meri chand mulazim bhi hon zarur
buldog ek sher sa KHunKHar chahiye
har sal mere nam se chanda bhara karen
paDhne ke waste mujhe aKHbar chahiye
shadi ke ba'd KHatm na hoga ye silsila
yani tamam umr ye bewhaar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.