nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
Ahmaq Phaphoondvi
MORE BYAhmaq Phaphoondvi
na.ī had-bañdiyāñ hone ko haiñ ā.īn-e-gulshan meñ
kaho bulbul se ab anDe na rakkhe āshiyāne meñ
pachahattar laakh ik be-kār mad meñ sarf kar deñge
re.āyā ke liye kauḌī nahīñ jin ke ḳhazāne meñ
jo arzāñ hai to hai un kī matā-e-ābrū varna
zarā sī chiiz bhī behad girāñ hai is zamāne meñ
jafā-o-zulm nasab-ul-ain hogā jis hukūmat kā
yaqīnan ḳhaak ho jā.egī vo thoḌe zamāne meñ
vo ik roTī jo ham ko barhaman mushkil se detā hai
hazāroñ but huā karte haiñ us ke daane daane meñ
nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
kaho bulbul se ab anDe na rakkhe aashiyane mein
pachahattar lakh ek be-kar mad mein sarf kar denge
reaya ke liye kauDi nahin jin ke KHazane mein
jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna
zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein
jafa-o-zulm nasab-ul-ain hoga jis hukumat ka
yaqinan KHak ho jaegi wo thoDe zamane mein
wo ek roTi jo hum ko barhaman mushkil se deta hai
hazaron but hua karte hain us ke dane dane mein
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 9)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.