nazar nazar se milaenge jaan-e-man hum bhi
nazar nazar se milaenge jaan-e-man hum bhi
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
nazar nazar se milā.eñge jān-e-man ham bhī
tarāne pyaar ke gā.eñge jān-e-man ham bhī
ufuq ke paar chalo Daalo sab ko chūlhe meñ
nasīb apnā jagā.eñge jān-e-man ham bhī
bhare buḌhāpe meñ bhī jaag jā.eñge armāñ
ġhazal vo tum ko sunā.eñge jān-e-man ham bhī
tumhārī mummy ke jūtoñ se kaun Dartā hai
tumhāre saath hī jā.eñge jān-e-man ham bhī
bahut nachāyā hai ham ko tumhāre abbā ne
unheñ bhī aaj nachā.eñge jān-e-man ham bhī
sharāb gāñjā charas pī ke aaj ham 'vāhid'
ġham-e-hayāt bhulā.eñge jān-e-man ham bhī
nazar nazar se milaenge jaan-e-man hum bhi
tarane pyar ke gaenge jaan-e-man hum bhi
ufuq ke par chalo Dalo sab ko chulhe mein
nasib apna jagaenge jaan-e-man hum bhi
bhare buDhape mein bhi jag jaenge arman
ghazal wo tum ko sunaenge jaan-e-man hum bhi
tumhaari mummy ke juton se kaun Darta hai
tumhaare sath hi jaenge jaan-e-man hum bhi
bahut nachaya hai hum ko tumhaare abba ne
unhen bhi aaj nachaenge jaan-e-man hum bhi
sharab ganja charas pi ke aaj hum 'wahid'
gham-e-hayat bhulaenge jaan-e-man hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.