nikah kar nahin sakti wo mujh faqir ke sath
nikāh kar nahīñ saktī vo mujh faqīr ke saath
rakhel ban ke rahegī kisī vazīr ke saath
vahī sulūk zamāne ne mere saath kiyā
kiyā thā jaisā musharraf ne be-nazīr ke saath
jo chāhtā hai lage paar ishq kā beḌā
duā salām rakhe husn ke safīr ke saath
thapak thapak ke sulāyā hai maiñ ne mushkil se
na chheḌ-chhāḌ karo tum mire zamīr ke saath
jo chāhtā hai ki ban jaa.e vo baḌā shā.er
vo jā ke dostī gāñThe kisī mudīr ke saath
vafūr-e-ishq ke jazbe se ho ga.ī sarshār
nikal paḌī hai murīdan jadīd piir ke saath
dulhan ke saath na aayā jahez to ye lagā
khilā.e jaise karailā bhī koī khiir ke saath
vo pesh pesh thā jis dam chhiḌī thī jañg-e-vajūd
sile ke vaqt 'zafar' hai saf-e-aḳhīr ke saath
nikah kar nahin sakti wo mujh faqir ke sath
rakhel ban ke rahegi kisi wazir ke sath
wahi suluk zamane ne mere sath kiya
kiya tha jaisa musharraf ne be-nazir ke sath
jo chahta hai lage par ishq ka beDa
dua salam rakhe husn ke safir ke sath
thapak thapak ke sulaya hai main ne mushkil se
na chheD-chhaD karo tum mere zamir ke sath
jo chahta hai ki ban jae wo baDa shaer
wo ja ke dosti ganThe kisi mudir ke sath
wafur-e-ishq ke jazbe se ho gai sarshaar
nikal paDi hai muridan jadid pir ke sath
dulhan ke sath na aaya jahez to ye laga
khilae jaise karaila bhi koi khir ke sath
wo pesh pesh tha jis dam chhiDi thi jang-e-wajud
sile ke waqt 'zafar' hai saf-e-aKHir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.