pahle hota tha nazar ke tir se
pahle hotā thā nazar ke tiir se
kaam ab hotā hai vo kaf-gīr se
mil ga.e the ek din taqdīr se
bhāgte haiñ ab nazar ke tiir se
ishq aur phir hoTaloñ kī roTiyāñ
bhāgtā phirtā hai rāñjhā hiir se
shoḳh thā lipTā hamārī piiTh se
ham chuġhad lipTe rahe tasvīr se
vaqt thā do-chār bachche ho ga.e
ab na kuchh hogā kisī tadbīr se
kaun sī line kareñ ham iḳhtiyār
pūchh aao apne apne piir se
jab huā kaale kā gore se milāp
mil ga.iiñ tārīkiyāñ tanvīr se
āḳhirash biivī ne shauhar se kahā
aa.iye kyā fā.eda taqrīr se
pahle hota tha nazar ke tir se
kaam ab hota hai wo kaf-gir se
mil gae the ek din taqdir se
bhagte hain ab nazar ke tir se
ishq aur phir hoTalon ki roTiyan
bhagta phirta hai ranjha hir se
shoKH tha lipTa hamari piTh se
hum chughad lipTe rahe taswir se
waqt tha do-chaar bachche ho gae
ab na kuchh hoga kisi tadbir se
kaun si line karen hum iKHtiyar
puchh aao apne apne pir se
jab hua kale ka gore se milap
mil gain tarikiyan tanwir se
aaKHirash biwi ne shauhar se kaha
aaiye kya faeda taqrir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.