pahle thi so ab bhi hai
hamesha kī tarah tangī jo pahle thī vo ab bhī hai
badan par ik phaTī lungī jo pahle thī so ab bhī hai
pareshānī se sar ke baal tak sab jhaḌ ga.e lekin
purānī jeb meñ kanghī jo pahle thī so ab bhī hai
idhar maiñ kasrat-e-aulād se lāġhar udhar un kī
zabāñ par tursh-e-nārangī jo pahle thī so ab bhī hai
banā hero se zero aur phir netā to kāñdhe par
vahī ik shāl-e-be-rangī jo pahle thī so ab bhī hai
nahīñ hotī to achchhā thā magar firqa-parastoñ meñ
vo yak-jihatī ham-āhangī jo pahle thī so ab bhī hai
siyāsat meñ ta.assub kā daḳhal hone lagā jab se
diloñ meñ aa ga.ī tangī jo pahle thī so ab bhī hai
jinheñ jantā kī fikr-e-āfiyat meñ ghul ke marnā thā
sehat un kī bhalī-changī jo pahle thī so ab bhī hai
libās-e-muḳhtasar meñ bhī tan-āsānī ke ḳhvāhāñ haiñ
kareñ kyā aatmā nangī jo pahle thī so ab bhī hai
zarūrat amn kī duniyā meñ pahle se ziyāda hai
magar qīmat bahut mahngī jo pahle thī so ab bhī hai
ahinsā ke pas-e-parda bahut zoroñ pe tayārī
aman ke naam par jangī jo pahle thī so ab bhī hai
huā hai aur na hogā kuchh asar mujh par za.īfī kā
ḳhayāloñ meñ ye nairangī jo pahle thī so ab bhī hai
zamāne kā chalan kyā pūchhte ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh se
vahī raftār-e-be-Dhangī jo pahle thī so ab bhī hai
hamesha ki tarah tangi jo pahle thi wo ab bhi hai
badan par ek phaTi lungi jo pahle thi so ab bhi hai
pareshani se sar ke baal tak sab jhaD gae lekin
purani jeb mein kanghi jo pahle thi so ab bhi hai
idhar main kasrat-e-aulad se laghar udhar un ki
zaban par tursh-e-narangi jo pahle thi so ab bhi hai
bana hero se zero aur phir neta to kandhe par
wahi ek shaal-e-be-rangi jo pahle thi so ab bhi hai
nahin hoti to achchha tha magar firqa-paraston mein
wo yak-jihati ham-ahangi jo pahle thi so ab bhi hai
siyasat mein tassub ka daKHal hone laga jab se
dilon mein aa gai tangi jo pahle thi so ab bhi hai
jinhen janta ki fikr-e-afiyat mein ghul ke marna tha
sehat un ki bhali-changi jo pahle thi so ab bhi hai
libas-e-muKHtasar mein bhi tan-asani ke KHwahan hain
karen kya aatma nangi jo pahle thi so ab bhi hai
zarurat amn ki duniya mein pahle se ziyaada hai
magar qimat bahut mahngi jo pahle thi so ab bhi hai
ahinsa ke pas-e-parda bahut zoron pe tayari
aman ke nam par jangi jo pahle thi so ab bhi hai
hua hai aur na hoga kuchh asar mujh par zaifi ka
KHayalon mein ye nairangi jo pahle thi so ab bhi hai
zamane ka chalan kya puchhte ho 'KHwah-maKHwah' mujh se
wahi raftar-e-be-Dhangi jo pahle thi so ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.