pahle thi so ab bhi hai
hamesha kī tarah tañgī jo pahle thī vo ab bhī hai
badan par ik phaTī luñgī jo pahle thī so ab bhī hai
pareshānī se sar ke baal tak sab jhaḌ ga.e lekin
purānī jeb meñ kañghī jo pahle thī so ab bhī hai
idhar maiñ kasrat-e-aulād se lāġhar udhar un kī
zabāñ par tursh-e-nārañgī jo pahle thī sau ab bhī hai
banā hero se zero aur phir netā to kāñdhe par
vahī ik shaal be-rañgī jo pahle thī so ab bhī hai
nahīñ hotī to achchhā thā magar firqa-parastoñ meñ
vo yak-jihatī ham-āhañgī jo pahle thī so ab bhī hai
siyāsat meñ ta.assub kā daḳhl hone lagā jab se
diloñ meñ aa ga.ī tañgī jo pahle thī so ab bhī hai
jinheñ jantā kī fikr-e-āfiyat meñ ghul ke marnā thā
sehat un kī bhalī-chañgī jo pahle thī so ab bhī hai
libās-e-muḳhtasar meñ bhī tan-āsānī ke ḳhvāhāñ haiñ
kareñ kyā aatmā nañgī jo pahle thī so ab bhī hai
zarūrat aman kī duniyā meñ pahle se ziyāda hai
magar qīmat bahut mahñgī jo pahle thī so ab bhī hai
ahinsā ke pas-e-parda bahut zoroñ pe tayyārī
aman ke naam par jañgī jo pahle thī so ab bhī hai
huā hai aur na hogā kuchh asar mujh par za.īfī kā
ḳhayāloñ meñ ye nairañgī jo pahle thī so ab bhī hai
zamāne kā chalan kyā pūchhte ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh se
vahī raftār be-Dhañgī jo pahle thī so ab bhī hai
hamesha ki tarah tangi jo pahle thi wo ab bhi hai
badan par ek phaTi lungi jo pahle thi so ab bhi hai
pareshani se sar ke baal tak sab jhaD gae lekin
purani jeb mein kanghi jo pahle thi so ab bhi hai
idhar main kasrat-e-aulad se laghar udhar un ki
zaban par tursh-e-narangi jo pahle thi sau ab bhi hai
bana hero se zero aur phir neta to kandhe par
wahi ek shaal be-rangi jo pahle thi so ab bhi hai
nahin hoti to achchha tha magar firqa-paraston mein
wo yak-jihati ham-ahangi jo pahle thi so ab bhi hai
siyasat mein tassub ka daKHl hone laga jab se
dilon mein aa gai tangi jo pahle thi so ab bhi hai
jinhen janta ki fikr-e-afiyat mein ghul ke marna tha
sehat un ki bhali-changi jo pahle thi so ab bhi hai
libas-e-muKHtasar mein bhi tan-asani ke KHwahan hain
karen kya aatma nangi jo pahle thi so ab bhi hai
zarurat aman ki duniya mein pahle se ziyaada hai
magar qimat bahut mahngi jo pahle thi so ab bhi hai
ahinsa ke pas-e-parda bahut zoron pe tayyari
aman ke nam par jangi jo pahle thi so ab bhi hai
hua hai aur na hoga kuchh asar mujh par zaifi ka
KHayalon mein ye nairangi jo pahle thi so ab bhi hai
zamane ka chalan kya puchhte ho 'KHwah-maKHwah' mujh se
wahi raftar be-Dhangi jo pahle thi so ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.