Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pension-yafta

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    na ab maiñ pyaar kar saktā huuñ aur na DaañT saktā huuñ

    jo baaqī rah ga.e haiñ din unheñ bas kaaT saktā huuñ

    jo mil jaa.e usī par iktifā karnā paḌtā hai

    koī shai apnī marzī se na ab maiñ chhāñT saktā huuñ

    huā huuñ jab se pension-yāfta ye haal hai yaaro

    na koī qarz detā hai na pension baañT saktā huuñ

    yahī kyā kam hai ḳhud-muḳhtār huuñ maiñ jab bhī chāhe

    tamannāoñ ke par uḌne se pahle kaaT saktā huuñ

    maiñ apne vaqt ke hāthoñ meñ huuñ jaise chhaTī unglī

    na isti.māl kar saktā huuñ aur na kaaT saktā huuñ

    ġhamoñ khiir TeḌhī nahīñ gāḌhī bhī hotī hai

    na jaatī hai ye aur na ise maiñ chaaT saktā huuñ

    uḌā kar dekh le koī patangeñ apnī sheḳhī

    bulandī par agar hoñ bhī to kanne kaaT saktā huuñ

    yahī taufīq kyā kam hai ki rotoñ ko hañsā kar maiñ

    dukhoñ bojh kam kar ke ġhamoñ ko baañT saktā huuñ

    ḳhalīj-e-buġhz-o-nafrat gar diloñ meñ ho ga.ī paidā

    ise maiñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' hañste hañsāte paaT saktā huuñ

    na ab main pyar kar sakta hun aur na DanT sakta hun

    jo baqi rah gae hain din unhen bas kaT sakta hun

    jo mil jae usi par iktifa karna hi paDta hai

    koi shai apni marzi se na ab main chhanT sakta hun

    hua hun jab se pension-yafta ye haal hai yaro

    na koi qarz deta hai na pension banT sakta hun

    yahi kya kam hai KHud-muKHtar hun main jab bhi ji chahe

    tamannaon ke par uDne se pahle kaT sakta hun

    main apne waqt ke hathon mein hun jaise chhaTi ungli

    na istimal kar sakta hun aur na kaT sakta hun

    ghamon ki khir TeDhi hi nahin gaDhi bhi hoti hai

    na pi jati hai ye aur na ise main chaT sakta hun

    uDa kar dekh le koi patangen apni sheKHi ki

    bulandi par agar hon bhi to kanne kaT sakta hun

    yahi taufiq kya kam hai ki roton ko hansa kar main

    dukhon ka bojh kam kar ke ghamon ko banT sakta hun

    KHalij-e-bughz-o-nafrat gar dilon mein ho gai paida

    ise main 'KHwah-maKHwah' hanste hansate paT sakta hun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now