libas tan pe salamat hain hath Khaali hain
libās tan pe salāmat haiñ haath ḳhālī haiñ
ham ek mulk-e-ḳhudā-dād ke savālī haiñ
na ham meñ aql-o-farāsat na hikmat-o-tadbīr
magar hai zo.am ki jam.iyyat-e-misālī haiñ
munāfiqat ne lahū tan meñ itnā garmāyā
ki guftugū meñ riyā-kāriyāñ sajā lī haiñ
ḳhud apne aap se kad is qadar hameñ hai ki ab
rivāyateñ hī gulistāñ kī phūñk Daalī haiñ
hamāre dil haiñ ab āmāj-gāh-e-hirs-o-havas
ki ham ne sīnoñ meñ tārīkiyāñ ugā lī haiñ
nashemanoñ ko ujāḌā kuchh is tarah jaise
ki fāḳhtā.eñ daraḳhtoñ se uḌne vaalī haiñ
kisī ġharīb apāhij faqīr kī 'mohsin'
kisī amiir ne baisākhiyāñ churā lī haiñ
libas tan pe salamat hain hath KHali hain
hum ek mulk-e-KHuda-dad ke sawali hain
na hum mein aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir
magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain
munafiqat ne lahu tan mein itna garmaya
ki guftugu mein riya-kariyan saja li hain
KHud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab
riwayaten hi gulistan ki phunk Dali hain
hamare dil hain ab aamaj-gah-e-hirs-o-hawas
ki hum ne sinon mein tarikiyan uga li hain
nashemanon ko ujaDa kuchh is tarah jaise
ki faKHtaen daraKHton se uDne wali hain
kisi gharib apahij faqir ki 'mohsin'
kisi amir ne baisakhiyan chura li hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.