purani motor
ajab ik baar sā murdār pahiyoñ ne uThāyā hai
use insāñ kī bad-baḳhtī ne jaane kab banāyā hai
na model hai, na body hai, na paaya hai, na saaya hai
parinda hai jise koī shikārī maar laayā hai
tabī.at mustaqil rahtī hai nā-sāz o aliil us kī
aTī rahtī hai nahr us kī phaTī rahtī hai jhiil us kī
tavānā.ī qalīl us kī to bīnā.ī baḳhīl us kī
ki us ko muddatoñ se khā chukī umr-e-tavīl us kī
garebāñ-chāk engine yuuñ paḌā hai apne chhappar meñ
ki jaise koī kaalā murġh ho ghē ke kanastar meñ
vilāyat se kisī 'sir-george-allan-bē' ke saath aa.ī
javānī luT ga.ī to sindh meñ ye ḳhush-sifāt aa.ī
vahāñ jab ain us ke sar pe tārīḳh-e-vafāt aa.ī
na jaane kaise haath aa.ī magar phir un ke haath aa.ī
hamāre mulk meñ añgrez ke iqbāl kī motor
san-aḌtālīs meñ puure aThattar saal kī motor
ye chaltī hai to do-tarfa nadāmat saath chaltī hai
bhare bāzār kī puurī malāmat saath chaltī hai
bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai
vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai
bahut kam is ''ḳharābe'' ko ḳharāb engine chillātā hai
umūman zor-e-dast-e-dostāñ hī kaam aatā hai
kabhī bailoñ ke pīchhe jot kar chalvā.ī jaatī hai
kabhī ḳhālī ḳhudā ke naam par khichvā.ī jaatī hai
ba-tarz-e-āshiqāna dauḌ kar behosh ho jaanā
ba-rañg-e-dil-barāna jhāñk kar rū-posh ho jaanā
qadam rakhne se pahle laġhzish-e-mastāna rakhtī hai
ki har farlāñg par apnā musāfir-ḳhāna rakhtī hai
shikasta saaz meñ bhī mahshar-e-naġhmāt rakhtī hai
tavānā.ī nahīñ rakhtī magar jazbāt rakhtī hai
purāne modaloñ meñ koī ūñchī zaat rakhtī hai
abhī pichhlī sadī ke ba.az purza-jāt rakhtī hai
ġham-e-daurāñ se ab to ye bhī naubat aa ga.ii, aksar
kisī murġhī se Takrā.ī to ḳhud chakrā ga.ii, aksar
hazāroñ hādse dekhe zamānī bhī makānī bhī
bahut se rog paale haiñ ze-rāh-e-qadrdānī bhī
ḳhajil is saḳht-jānī par hai marg-e-nā-gahānī bhī
ḳhudāvandā na koī chiiz ho itnī purānī bhī
kabhī vaqt-e-ḳhirām aayā to tyre kā salām aayā
''tham ai rah rau ki shāyad phir koī mushkil maqām āyā''
ajab ek bar sa murdar pahiyon ne uThaya hai
use insan ki bad-baKHti ne jaane kab banaya hai
na model hai, na body hai, na paya hai, na saya hai
parinda hai jise koi shikari mar laya hai
tabiat mustaqil rahti hai na-saz o alil us ki
aTi rahti hai nahr us ki phaTi rahti hai jhil us ki
tawanai qalil us ki to binai baKHil us ki
ki us ko muddaton se kha chuki umr-e-tawil us ki
gareban-chaak engine yun paDa hai apne chhappar mein
ki jaise koi kala murgh ho ghee ke kanastar mein
wilayat se kisi 'sir-george-allan-bee' ke sath aai
jawani luT gai to sindh mein ye KHush-sifat aai
wahan jab ain us ke sar pe tariKH-e-wafat aai
na jaane kaise hath aai magar phir un ke hath aai
hamare mulk mein angrez ke iqbaal ki motor
san-aDtalis mein pure aThattar sal ki motor
ye chalti hai to do-tarfa nadamat sath chalti hai
bhare bazar ki puri malamat sath chalti hai
bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
bahut kam is KHarabe ko KHarab engine chillata hai
umuman zor-e-dast-e-dostan hi kaam aata hai
kabhi bailon ke pichhe jot kar chalwai jati hai
kabhi KHali KHuda ke nam par khichwai jati hai
ba-tarz-e-ashiqana dauD kar behosh ho jaana
ba-rang-e-dil-barana jhank kar ru-posh ho jaana
qadam rakhne se pahle laghzish-e-mastana rakhti hai
ki har farlang par apna musafir-KHana rakhti hai
shikasta saz mein bhi mahshar-e-naghmat rakhti hai
tawanai nahin rakhti magar jazbaat rakhti hai
purane modalon mein koi unchi zat rakhti hai
abhi pichhli sadi ke baz purza-jat rakhti hai
gham-e-dauran se ab to ye bhi naubat aa gai, aksar
kisi murghi se Takrai to KHud chakra gai, aksar
hazaron hadse dekhe zamani bhi makani bhi
bahut se rog pale hain ze-rah-e-qadrdani bhi
KHajil is saKHt-jaani par hai marg-e-na-gahani bhi
KHudawanda na koi chiz ho itni purani bhi
kabhi waqt-e-KHiram aaya to tyre ka salam aaya
tham ai rah rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.