misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
misāl-e-ā.īna yaaro nikhar gayā kal shab
ajiib sāneha dil pe guzar gayā kal shab
bisāt-e-dasht pe yuuñ chāñdnī thī raqs-kunāñ
ki jaise chāñd kā har zaḳhm bhar gayā kal shab
siyāh raat kā vo rāhib-e-charāġh-ba-kaf
suno vo kirmak-e-shab-tāb bhar gayā kal shab
kuchh itnā chehra bhayānak thā ḳhvāb meñ us kā
ki apne aap se 'pāshā' bhī Dar gayā kal shab
misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
ajib saneha dil pe guzar gaya kal shab
bisat-e-dasht pe yun chandni thi raqs-kunan
ki jaise chand ka har zaKHm bhar gaya kal shab
siyah raat ka wo rahib-e-charagh-ba-kaf
suno wo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab
kuchh itna chehra bhayanak tha KHwab mein us ka
ki apne aap se 'pasha' bhi Dar gaya kal shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.