roTi kapDa aur makan
dil jal rahe haiñ dosto ġham ke alaav meñ
bachche bhī mubtalā haiñ dimāġhī tanāv meñ
paanī kī tarah bahtī hai daulat chunāv meñ
yak-jehtī kā to naam nahīñ rakh-rakhāv meñ
ik aadmī ke vāste patlūn, shirt, coat
ik aadmī ke vāste mumkin nahīñ lañgoT
ik ghar meñ itnī roTiyāñ khaa.e nahīñ baneñ
ik ghar kā hai ye haal ki sattū nahīñ saneñ
ik ghar meñ itnī raushnī āñkheñ nahīñ khuleñ
ik ghar meñ ghāsleT ke dīpak nahīñ jaleñ
kutte kisī ke sair ko motor pe jaa.e haiñ
qismat ke dar pe baiTh ke kuchh dum hilā.e haiñ
ye kaun sochtā hai barābar hai aadmī
daulat hai jis ke paas vo behtar hai aadmī
vo aadmī nahīñ jo phaTīchar hai aadmī
rāheñ tavīl aur khule sar hai aadmī
usiyā rahā hai vo jo ġharībī kī os meñ
pakvān pak rahe haiñ usī ke paḌos meñ
sehn-e-chaman meñ kuchh pas-e-dīvār haiñ khaḌe
ya.anī avaam jaan se bezār haiñ khaḌe
daftar meñ rozgār ke be-kār haiñ khaḌe
line meñ aspatāl kī bīmār haiñ khaḌe
roTī agar na paa.ī to patthar uThā.eñge
bhūke kabhī na bhuuk meñ malhār gā.eñge
aalam ye daftaroñ kā hai yārān-e-tez-gām
phailā har ek gaam hai rishvat kā ek daam
afsar bhī be-nakel haiñ staff be-lagām
jantā kā hai ye haal ki kartī hai raam raam
mausam ko dekh-bhāl ke file baḌhā.e haiñ
daftar meñ laḌkiyāñ bhī to switer banā.e haiñ
raushan karo charāġh vo daur-e-siyāh meñ
khaa.e na koī Thokareñ koī roTī kī chaah meñ
ġhurbat aḌī huī hai taraqqī kī raah meñ
yaksāñ sabhī hoñ log tumhārī nigāh meñ
tartīb do chaman baḌhī shāḳhoñ ko chhāñT do
daulat ko aadmī pe barābar se baañT do
dil jal rahe hain dosto gham ke alaw mein
bachche bhi mubtala hain dimaghi tanaw mein
pani ki tarah bahti hai daulat chunaw mein
yak-jehti ka to nam nahin rakh-rakhaw mein
ek aadmi ke waste patlun, shirt, coat
ek aadmi ke waste mumkin nahin langoT
ek ghar mein itni roTiyan khae nahin banen
ek ghar ka hai ye haal ki sattu nahin sanen
ek ghar mein itni raushni aankhen nahin khulen
ek ghar mein ghasleT ke dipak nahin jalen
kutte kisi ke sair ko motor pe jae hain
qismat ke dar pe baiTh ke kuchh dum hilae hain
ye kaun sochta hai barabar hai aadmi
daulat hai jis ke pas wo behtar hai aadmi
wo aadmi nahin jo phaTichar hai aadmi
rahen tawil aur khule sar hai aadmi
usiya raha hai wo jo gharibi ki os mein
pakwan pak rahe hain usi ke paDos mein
sehn-e-chaman mein kuchh pas-e-diwar hain khaDe
yani awam jaan se bezar hain khaDe
daftar mein rozgar ke be-kar hain khaDe
line mein aspatal ki bimar hain khaDe
roTi agar na pai to patthar uThaenge
bhuke kabhi na bhuk mein malhaar gaenge
aalam ye daftaron ka hai yaran-e-tez-gam
phaila har ek gam hai rishwat ka ek dam
afsar bhi be-nakel hain staff be-lagam
janta ka hai ye haal ki karti hai ram ram
mausam ko dekh-bhaal ke file baDhae hain
daftar mein laDkiyan bhi to switer banae hain
raushan karo charagh wo daur-e-siyah mein
khae na koi Thokaren koi roTi ki chah mein
ghurbat aDi hui hai taraqqi ki rah mein
yaksan sabhi hon log tumhaari nigah mein
tartib do chaman baDhi shaKHon ko chhanT do
daulat ko aadmi pe barabar se banT do
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 287)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.