sarangi aur tabla
duniyā-bhar ke be-fikroñ ne kal bazm-e-surūd sajā.ī thī
kyā dil ko masaltā thā tabla kyā sārañgī ghabrā.ī thī
bismil kī rag-e-jāñ bantī thī tā.ūs kī tāreñ larzish se
chaa.e kā pyāla daur meñ thā huqqe ne dhuum machā.ī thī
rindoñ ne jhanDe gaaḌe the zabbād ne Dere Daale the
is dair o haram kī mahfil meñ mausīqī gaane aa.ī thī
haañ ashkoñ se pur sārañgī vaañ pech-o-tāb meñ thā tabla
gaz-bhar kī zabāñ yaañ chaltī thī vaañ hāthoñ kī ban aa.ī thī
vaañ thaap ke abr garajte the naġhmoñ kī phuvāreñ paḌtī thiiñ
yaañ har dil par mausīqī ke kohre ne qanāt lagā.ī thī
uḌtī thiiñ fazā-bhar meñ tāneñ thī chaal sabā kī mastāna
taqdīr se biich meñ donoñ ke jā baiThā shā.er-e-dīvāna
sārañgī bole table se tum yūñhī shor machāte ho
ai muñh-phaT table dīvāne kyuuñ kaan hamāre khāte ho
āvāz tumhārī kavve sī aur shakl chhalāve sī terī
in mīThī mīThī tānoñ ke tum rañg meñ bhañg milāte ho
lānat hai tumhāre jiine par ārām nahīñ izzat bhī nahīñ
maiñ godoñ meñ jā phailtī huuñ tum sar apnā piTvāte ho
hai ḳhaam abhī tak ishq tirā kuchh sabr nahīñ kuchh taab nahīñ
yaañ taan aḌī ik mīThī sī vaañ thaam ke dil rah jaate ho
maiñ rāj-dulārī albelī naarī huuñ prem-kanhiyā huuñ
tum mūñDī-kāTe mardak ho barjā par dhakke khāte ho
tahzīb tumheñ manzūr nahīñ aur aql kahīñ dastūr nahīñ
tum bhiim kī tānoñ meñ bāhar kyuuñ aape se ho jaate ho
nāzoñ se palī shahzādī huuñ maiñ naarī mahloñ vaalī huuñ
tum jis davām ke qaidī ho sandūqoñ meñ DaT jaate ho
jab sārañgī ne table se yuuñ dil-shiknī kā kalām kiyā
kuchh der to vo ḳhāmosh rahā phir bhābhī-jāñ ko salām kiyā
yuuñ kahne lagā sārañgī se jaltī par tel girātī ho
ham rañj-o-alam ke maare haiñ tum aakar aur satātī ho
mushtāq se muñh pherā kyuuñ hai phir tum ne hameñ aa gherā kyuuñ
rahne do ise chup majbūrān kyuuñ merī zabāñ khulvātī ho
maiñ ranjībār kā shahzāda maidān meñ aakar zaiġham sā
jab ek dahāḌ lagātā huuñ tum pardoñ meñ Dar jaatī ho
paimān-e-vafā jis se bāñdhūñ maiñ paas usī ke rahtā huuñ
tum harjā.ī ho har ik ke pahlū meñ dil bahlātī ho
kuchh lutf hai sīna-kobī meñ sar phoḌne meñ ham-mastoñ ko
bī-bī ye ishq ke zevar haiñ tum yūñhī ham ko banātī ho
izzat pe hamārī harf-zanī allāh ġhanī allāh ġhanī
vo vaqt baḌī-bī bhuul ga.iiñ jab kaam apne kachhvātī ho
maiñ terī shamīm-e-naġhma ko mānind-e-nasīm uḌātā huuñ
ye merī thaap kī barkat hai dil bazm meñ masle jaatī huuñ
jab laḌke mil kar gaate haiñ irfān kī tāneñ uḌāte haiñ
hāthoñ se mez bajāte haiñ tum yaad kab un ko aatī ho
hai malka-e-mausīqī se mujhe nazdīk-tarīñ tujh se rishta
ham raah pe tujh ko laate haiñ jab lai meñ bhaTak sī jaatī ho
maiñ aazar ishq kī tābish se dil mahfil ke garmātā huuñ
tā.ūs tambūre ko taj kar din meñ taare dikhlātā huuñ
ye sun kar shamsuddīn Dare talvār mabādā chal jaa.e
yaañ tabla taḌaptā rah jaa.e sārañgī rotī rah jaa.e
chumkār ke sārañgī se kahā tum sīdhī-sādī bholī ho
zebā nahīñ gar yuuñ muñh meñ tire an-jānoñ kī sī bolī ho
table ke vakīl-e-mutlaq ne vaañ haath se us ko samjhāyā
achchhā nahīñ ḳhuuñ kī lahroñ se gar mahfil-bhar meñ holī ho
tum zenjībār ke shahzāde sārañgī sārañgī Thahrī
phabtī hī nahīñ shahzādoñ ke gar aisī bolī Tholī ho
ḳhāmosh huiiñ bī-sārañgī aur tabla summun-bukmun thā
yuuñ jaise kisī ne zabāñ apnī kausar ke aab se dho lī ho
al-qissa bichhḌe dost mile nai jhagḌā thā nai shikva thā
nai tan-tanā-tan-tan-tan thī tākaḌ-dhayyā-dhayyā thā
duniya-bhar ke be-fikron ne kal bazm-e-surud sajai thi
kya dil ko masalta tha tabla kya sarangi ghabrai thi
bismil ki rag-e-jaan banti thi taus ki taren larzish se
chae ka pyala daur mein tha huqqe ne dhum machai thi
rindon ne jhanDe gaDe the zabbaad ne Dere Dale the
is dair o haram ki mahfil mein mausiqi gane aai thi
han ashkon se pur sarangi wan pech-o-tab mein tha tabla
gaz-bhar ki zaban yan chalti thi wan hathon ki ban aai thi
wan thap ke abr garajte the naghmon ki phuwaren paDti thin
yan har dil par mausiqi ke kohre ne qanat lagai thi
uDti thin faza-bhar mein tanen thi chaal saba ki mastana
taqdir se bich mein donon ke ja baiTha shaer-e-diwana
sarangi bole table se tum yunhi shor machate ho
ai munh-phaT table diwane kyun kan hamare khate ho
aawaz tumhaari kawwe si aur shakl chhalawe si teri
in miThi miThi tanon ke tum rang mein bhang milate ho
lanat hai tumhaare jine par aaram nahin izzat bhi nahin
main godon mein ja phailti hun tum sar apna piTwate ho
hai KHam abhi tak ishq tera kuchh sabr nahin kuchh tab nahin
yan tan aDi ek miThi si wan tham ke dil rah jate ho
main raj-dulari albeli nari hun prem-kanhiya hun
tum munDi-kaTe mardak ho barja par dhakke khate ho
tahzib tumhein manzur nahin aur aql kahin dastur nahin
tum bhim ki tanon mein bahar kyun aape se ho jate ho
nazon se pali shahzadi hun main nari mahlon wali hun
tum jis dawam ke qaidi ho sanduqon mein DaT jate ho
jab sarangi ne table se yun dil-shikni ka kalam kiya
kuchh der to wo KHamosh raha phir bhabhi-jaan ko salam kiya
yun kahne laga sarangi se jalti par tel giraati ho
hum ranj-o-alam ke mare hain tum aakar aur satati ho
mushtaq se munh phera kyun hai phir tum ne hamein aa ghera kyun
rahne do ise chup majburan kyun meri zaban khulwati ho
main ranjibar ka shahzada maidan mein aakar zaigham sa
jab ek dahaD lagata hun tum pardon mein Dar jati ho
paiman-e-wafa jis se bandhun main pas usi ke rahta hun
tum harjai ho har ek ke pahlu mein dil bahlati ho
kuchh lutf hai sina-kobi mein sar phoDne mein ham-maston ko
bi-bi ye ishq ke zewar hain tum yunhi hum ko banati ho
izzat pe hamari harf-zani allah ghani allah ghani
wo waqt baDi-bi bhul gain jab kaam apne kachhwati ho
main teri shamim-e-naghma ko manind-e-nasim uData hun
ye meri thap ki barkat hai dil bazm mein masle jati hun
jab laDke mil kar gate hain irfan ki tanen uDate hain
hathon se mez bajate hain tum yaad kab un ko aati ho
hai malka-e-mausiqi se mujhe nazdik-tarin tujh se rishta
hum rah pe tujh ko late hain jab lai mein bhaTak si jati ho
main aazar ishq ki tabish se dil mahfil ke garmata hun
taus tambure ko taj kar din mein tare dikhlata hun
ye sun kar shamsuddin Dare talwar mabaada chal jae
yan tabla taDapta rah jae sarangi roti rah jae
chumkar ke sarangi se kaha tum sidhi-sadi bholi ho
zeba nahin gar yun munh mein tere an-jaanon ki si boli ho
table ke wakil-e-mutlaq ne wan hath se us ko samjhaya
achchha nahin KHun ki lahron se gar mahfil-bhar mein holi ho
tum zenjibar ke shahzade sarangi sarangi Thahri
phabti hi nahin shahzadon ke gar aisi boli Tholi ho
KHamosh huin bi-sarangi aur tabla summun-bukmun tha
yun jaise kisi ne zaban apni kausar ke aab se dho li ho
al-qissa bichhDe dost mile nai jhagDa tha nai shikwa tha
nai tan-tana-tan-tan-tan thi takaD-dhayya-dhayya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.