samosa
chorī-chhupe khāte haiñ kuchh insān samosa
haiñ vo bhī jo khā.eñ alal-ailān samosa
ho nāshte meñ lunch meñ phir ho ye dinner meñ
bas un kā chale to mile har aan samosa
panvāḌī ne kaaTā jo musallas kī tarah paan
bole ki ye lagtā hai mujhe paan samosa
malhār vo gaa.eñ yā koī rāgnī chheḌeñ
har baar lagāte haiñ vahī taan samosa
yuuñ to vo saḳhī dil ke haiñ lekin jo ho mumkin
har ek gadāgar ko kareñ daan samosa
daftar meñ jo zohrāna diyā jaatā hai sab ko
vo chāhte haiñ roz mile naan samosa
ġham kā koī maarā go ho kitnā hī fasurda
laatā hai laboñ par na.ī muskān samosa
khā.eñ jo samosa to hai lāzim raheñ mohtāt
ye ho na shikam meñ lage paikān samosa
nāqis kisī bhī shai se banā khā.eñ na varna
kar degā zarūr aap ko halkān samosa
yuuñ to hai ye kam-qīmat-o-ḳhush-zā.iqa ḳhūrāk
is ne mujhe dilvāyā hai dīvān samosa
ash.ār ḳhudā-dād haiñ ye shukr hai rab kā
yakjā hue haiñ sab ye ba-unvān-e-samosa
chori-chhupe khate hain kuchh insan samosa
hain wo bhi jo khaen alal-ailan samosa
ho nashte mein lunch mein phir ho ye dinner mein
bas un ka chale to mile har aan samosa
panwaDi ne kaTa jo musallas ki tarah pan
bole ki ye lagta hai mujhe pan samosa
malhaar wo gaen ya koi ragni chheDen
har bar lagate hain wahi tan samosa
yun to wo saKHi dil ke hain lekin jo ho mumkin
har ek gadagar ko karen dan samosa
daftar mein jo zohrana diya jata hai sab ko
wo chahte hain roz mile nan samosa
gham ka koi mara go ho kitna hi fasurda
lata hai labon par nai muskan samosa
khaen jo samosa to hai lazim rahen mohtat
ye ho na shikam mein lage paikan samosa
naqis kisi bhi shai se bana khaen na warna
kar dega zarur aap ko halkan samosa
yun to hai ye kam-qimat-o-KHush-zaiqa KHurak
is ne mujhe dilwaya hai diwan samosa
ashaar KHuda-dad hain ye shukr hai rab ka
yakja hue hain sab ye ba-unwan-e-samosa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.