shaer-e-azam
kal ik adiib o shā.er o nāqid mile hameñ
kahne lage ki aao zarā bahs hī kareñ
karne lage ye bahs ki ab hind o paak meñ
vo kaun hai ki shā.er-e-āzam jise kaheñ
maiñ ne kahā 'jigar' to kahā dead ho chuke
maiñ ne kahā ki 'josh' kahā qadr kho chuke
maiñ ne kahā 'firāq' kī azmat pe tabsira
bole 'firāq' shā.er-e-āzam arā-rarā
maiñ ne kahā 'nadīm' to bole ki journalist
maiñ ne kahā 'ra.īs' to bole satirist
maiñ ne kahā ki hazrat-e-'māhir' bhī ḳhuub haiñ
kahne lage ki un ke yahāñ bhī uyuub haiñ
maiñ ne kahā kuchh aur to bole ki chup raho
maiñ chup rahā to kahne lage aur kuchh kaho
maiñ ne kahā ki 'sāhir' o 'majrūh' o jāñ-nisār
bole ki shā.iroñ meñ na kiije inheñ shumār
maiñ ne kahā kalām-e-'ravish' lā-javāb hai
kahne lage ki un kā tarannum ḳharāb hai
maiñ ne kahā tarannum-e-'anvar' pasand hai
kahne lage ki un kā vatan deoband hai
maiñ ne kahā ki un kī ġhazal sāf-o-pāk hai
bole ki un kī shakl baḌī ḳhaufnāk hai
maiñ ne kahā ki ye jo haiñ 'mahshar'-ināyatī?
kahne lage ki rañg hai un kā rivāyatī
maiñ ne kahā 'qamar' kā taġhazzul hai dil-nashīñ
kahne lage ki un meñ to kuchh jaan hī nahīñ
maiñ ne kahā 'niyāz' to bole ki aib haiñ
maiñ ne kahā 'surūr' to bole ki nukta-chīñ
maiñ ne kahā 'zarīf' to bole ki gandagī
maiñ ne kahā 'salām' to bole ki bandagī
maiñ ne kahā 'farāz' to bole ki zer-o-bam
maiñ ne kahā 'adam' to kahā vo bhī kal-adam
maiñ ne kahā 'ḳhumār' kahā fan meñ kachche haiñ
maiñ ne kahā ki 'shād' to bole ki bachche haiñ
maiñ ne kahā ki tanz-nigāroñ meñ dekhiye
bole ki saikaḌoñ meñ hazāroñ meñ dekhiye
maiñ ne kahā ki shā.er-e-āzam haiñ 'ja.afarī'
kahne lage ki aap kī hai un se dostī
maiñ ne kahā ki ye jo haiñ 'mahshar'-ināyatī
kahne lage ki aap haiñ un ke himāyatī
maiñ ne kahā 'zamīr' ke hiyumar meñ fikr hai
bole ye kis kā naam liyā kis kā zikr hai
maiñ ne kahā ki ye jo dilāvar-figār haiñ
bole ki vo to sirf zarāfat-nigār haiñ
maiñ ne kahā mizāh meñ ik baat bhī to hai
bole ki is ke saath ḳhurāfāt bhī to hai
maiñ ne kahā to shā.er-e-āzam koī nahīñ
kahne lage ki ye bhī koī lāzmī nahīñ
maiñ ne kahā to kis ko meñ shā.er baḌā kahūñ
kahne lage ki maiñ bhī isī kashmakash meñ huuñ
pāyān-e-kār ḳhatm huā jab ye tajziya
maiñ ne kahā huzūr to bole ki shukriya
kal ek adib o shaer o naqid mile hamein
kahne lage ki aao zara bahs hi karen
karne lage ye bahs ki ab hind o pak mein
wo kaun hai ki shaer-e-azam jise kahen
main ne kaha 'jigar' to kaha dead ho chuke
main ne kaha ki 'josh' kaha qadr kho chuke
main ne kaha 'firaq' ki azmat pe tabsira
bole 'firaq' shaer-e-azam ara-rara
main ne kaha 'nadim' to bole ki journalist
main ne kaha 'rais' to bole satirist
main ne kaha ki hazrat-e-'mahir' bhi KHub hain
kahne lage ki un ke yahan bhi uyub hain
main ne kaha kuchh aur to bole ki chup raho
main chup raha to kahne lage aur kuchh kaho
main ne kaha ki 'sahir' o 'majruh' o jaan-nisar
bole ki shairon mein na kije inhen shumar
main ne kaha kalam-e-'rawish' la-jawab hai
kahne lage ki un ka tarannum KHarab hai
main ne kaha tarannum-e-'anwar' pasand hai
kahne lage ki un ka watan deoband hai
main ne kaha ki un ki ghazal saf-o-pak hai
bole ki un ki shakl baDi KHaufnak hai
main ne kaha ki ye jo hain 'mahshar'-inayati?
kahne lage ki rang hai un ka riwayati
main ne kaha 'qamar' ka taghazzul hai dil-nashin
kahne lage ki un mein to kuchh jaan hi nahin
main ne kaha 'niyaz' to bole ki aib hain
main ne kaha 'surur' to bole ki nukta-chin
main ne kaha 'zarif' to bole ki gandagi
main ne kaha 'salam' to bole ki bandagi
main ne kaha 'faraaz' to bole ki zer-o-bam
main ne kaha 'adam' to kaha wo bhi kal-adam
main ne kaha 'KHumar' kaha fan mein kachche hain
main ne kaha ki 'shad' to bole ki bachche hain
main ne kaha ki tanz-nigaron mein dekhiye
bole ki saikaDon mein hazaron mein dekhiye
main ne kaha ki shaer-e-azam hain 'jafari'
kahne lage ki aap ki hai un se dosti
main ne kaha ki ye jo hain 'mahshar'-inayati
kahne lage ki aap hain un ke himayati
main ne kaha 'zamir' ke hiyumar mein fikr hai
bole ye kis ka nam liya kis ka zikr hai
main ne kaha ki ye jo dilawar-figar hain
bole ki wo to sirf zarafat-nigar hain
main ne kaha mizah mein ek baat bhi to hai
bole ki is ke sath KHurafat bhi to hai
main ne kaha to shaer-e-azam koi nahin
kahne lage ki ye bhi koi lazmi nahin
main ne kaha to kis ko mein shaer baDa kahun
kahne lage ki main bhi isi kashmakash mein hun
payan-e-kar KHatm hua jab ye tajziya
main ne kaha huzur to bole ki shukriya
- Book : Kulliyat-e-Dilavar Figar (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.