shair-e-bisyar-go
shā.ir-e-bisyār-go se hai ye merī iltimās
aap yuuñ lillāh sāme.a ko na kiije bad-havās
muḳhtasar sī rasm-e-ḳhatna aur us par tiis sher
aqd ke do bol kī taqrīb aur chālīs sher
maiñ ne maanā shā.irī kā aap ko bohrān hai
aap kī fikr-e-suḳhan parchūn kī dūkān hai
aap Dhīlī kar ke rakh dete haiñ nas nas sher kī
uf ye chū-ġhazla aur is par har ġhazal das sher kī
aap ko jitne qavāfī mil sake farhañg meñ
un ko Thūñsā lā ke ġhazloñ kī qabā-e-tañg meñ
aap ke sar par musallat jazba-e-tahsīn hai
aur idhar sab kī zabāñ par sūra-e-yāsīn hai
shair-e-bisyar-go se hai ye meri iltimas
aap yun lillah samea ko na kije bad-hawas
muKHtasar si rasm-e-KHatna aur us par tis sher
aqd ke do bol ki taqrib aur chaalis sher
main ne mana shairi ka aap ko bohran hai
aap ki fikr-e-suKHan parchun ki dukan hai
aap Dhili kar ke rakh dete hain nas nas sher ki
uf ye chu-ghazla aur is par har ghazal das sher ki
aap ko jitne qawafi mil sake farhang mein
un ko Thunsa la ke ghazlon ki qaba-e-tang mein
aap ke sar par musallat jazba-e-tahsin hai
aur idhar sab ki zaban par sura-e-yasin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.