shair se sher suniye to misra uThaiye
shā.ir se sher suniye to misra.a uThā.iye
ik baar agar na uTThe dobāra uThā.iye
koī kisī kī laash uThātā nahīñ yahāñ
ab ḳhud hī apnā apnā janāza uThā.iye
iġhvā hī karnā thā to koī kam the lakh-pati
kis ne kahā thā road se kañglā uThā.iye
koī qadam uThānā to hai rāh-e-shauq meñ
aglā qadam na uTThe to pichhlā uThā.iye
stage par paḌā thā jo parda vo uTh chukā
jo aql par paḌā hai vo parda uThā.iye
poshīda bam bhī hote haiñ kachre ke Dher meñ
hushyār ho ke road se kachrā uThā.iye
shair se sher suniye to misra uThaiye
ek bar agar na uTThe dobara uThaiye
koi kisi ki lash uThata nahin yahan
ab KHud hi apna apna janaza uThaiye
ighwa hi karna tha to koi kam the lakh-pati
kis ne kaha tha road se kangla uThaiye
koi qadam uThana to hai rah-e-shauq mein
agla qadam na uTThe to pichhla uThaiye
stage par paDa tha jo parda wo uTh chuka
jo aql par paDa hai wo parda uThaiye
poshida bam bhi hote hain kachre ke Dher mein
hushyar ho ke road se kachra uThaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.